Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main sochta rahta hun dimaghon mein nahin jo

Naseer Ahmad Nasir

main sochta rahta hun dimaghon mein nahin jo

Naseer Ahmad Nasir

MORE BYNaseer Ahmad Nasir

    maiñ sochtā rahtā huuñ dimāġhoñ meñ nahīñ jo

    hai kaun vo phuul ki bāġhoñ meñ nahīñ jo

    hotī hai kisī dīda-e-namnāk lau se

    vo raushnī kaisī hai charāġhoñ meñ nahīñ jo

    dekho na mirā jism mirī ruuh jalī thī

    ye daaġh hai vo jild ke dāġhoñ meñ nahīñ jo

    paanī meñ zamīnoñ pe havā meñ use khojā

    vo kaisā nishāñ hai ki surāġhoñ meñ nahīñ jo

    ik kār-e-musalsal hai use chāhte rahnā

    lutf is lagātār hai nāġhoñ meñ nahīñ jo

    is mahfil-e-ahbāb sarshārī ajab hai

    vo mai bhī chhalak jaa.e ayāġhoñ meñ nahīñ jo

    rangat nahīñ āb-o-havā bhī asar hai

    baguloñ meñ koī baat hai zāġhoñ meñ nahīñ jo

    'nāsir' haiñ ajab boliyāñ tā.ūs-e-zamāñ

    ashjār ke pur-ġhol kulāġhoñ meñ nahīñ jo

    main sochta rahta hun dimaghon mein nahin jo

    hai kaun sa wo phul ki baghon mein nahin jo

    hoti hai kisi dida-e-namnak ki lau se

    wo raushni kaisi hai charaghon mein nahin jo

    dekho na mera jism meri ruh jali thi

    ye dagh hai wo jild ke daghon mein nahin jo

    pani mein zaminon pe hawa mein use khoja

    wo kaisa nishan hai ki suraghon mein nahin jo

    ek kar-e-musalsal hai use chahte rahna

    lutf is ka lagatar hai naghon mein nahin jo

    is mahfil-e-ahbab ki sarshaari ajab hai

    wo mai bhi chhalak jae ayaghon mein nahin jo

    rangat hi nahin aab-o-hawa ka bhi asar hai

    bagulon mein koi baat hai zaghon mein nahin jo

    'nasir' hain ajab boliyan taus-e-zaman ki

    ashjar ke pur-ghol kulaghon mein nahin jo

    Source:

    Tasteer (Pg. 262)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now