main taDapta raha jis KHushi ke liye
maiñ taḌaptā rahā jis ḳhushī ke liye
aur vo bhī milī bas ghaḌī ke liye
dukh samajhtā huuñ maiñ 'auratoñ kā magar
koī soche zarā aadmī ke liye
ḳhud ko barbād karne ko ik hādisa
kaafī hotā hai bas zindagī ke liye
yuuñ hī koī kisī ko nahīñ chhoḌtā
ik havas aur bas dūsrī ke liye
maut āvāz degī chale jā.eñge
kaun ruktā hai āḳhir kisī ke liye
main taDapta raha jis KHushi ke liye
aur wo bhi mili bas ghaDi ke liye
dukh samajhta hun main 'auraton ka magar
koi soche zara aadmi ke liye
KHud ko barbaad karne ko ek hadisa
kafi hota hai bas zindagi ke liye
yun hi koi kisi ko nahin chhoDta
ek hawas aur bas dusri ke liye
maut aawaz degi chale jaenge
kaun rukta hai aaKHir kisi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.