Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

Hasan Abbas Raza

main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

Hasan Abbas Raza

MORE BYHasan Abbas Raza

    maiñ talāsh meñ kisī aur mujhe DhūñDhtā koī aur hai

    maiñ savāl huuñ kisī aur merā mas.ala koī aur hai

    kabhī chāñd-chehroñ bhiiḌ se jo nikal ke aayā to ye khulā

    vo jo asl thā use kho diyā jise liyā koī aur hai

    kaTī umr ek usī chaah meñ use dekhte kisī raah meñ

    magar ik zamāne ke ba.ad jo huā āshnā koī aur hai

    faqat ek pal ke firāq meñ ka.ī ḳhvāb kirchiyāñ ho ga.e

    jo palaT ke aa.e to yuuñ lagā yahāñ silsila koī aur hai

    vahī log haiñ vahī naam haiñ vahī ghar vahī dar-o-bām haiñ

    magar ab darīchoñ oT se hameñ jhāñktā koī aur hai

    kisī aane vaale safar jab karo ibtidā to ye sochnā

    maiñ akelā is meñ sharīk huuñ ki mire sivā koī aur hai

    use mil ke aa.e to shaam ko mujhe aa.ine ne kahā suno

    vo jo sub.h-dam thā hasan-'razā' vo tumhī ho koī aur hai

    main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai

    main sawal hun kisi aur ka mera masala koi aur hai

    kabhi chand-chehron ki bhiD se jo nikal ke aaya to ye khula

    wo jo asl tha use kho diya jise pa liya koi aur hai

    kaTi umr ek usi chah mein use dekhte kisi rah mein

    magar ek zamane ke baad jo hua aashna koi aur hai

    faqat ek pal ke firaq mein kai KHwab kirchiyan ho gae

    jo palaT ke aae to yun laga yahan silsila koi aur hai

    wahi log hain wahi nam hain wahi ghar wahi dar-o-baam hain

    magar ab darichon ki oT se hamein jhankta koi aur hai

    kisi aane wale safar ki jab karo ibtida to ye sochna

    main akela is mein sharik hun ki mere siwa koi aur hai

    use mil ke aae to sham ko mujhe aaine ne kaha suno

    wo jo subh-dam tha hasan-'raza' wo tumhi ho ya koi aur hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 611)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now