Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main tha ek sham-e-sozan raat bhar uThTha dhuan mujhse

Ahsan Ahmad Ashk

main tha ek sham-e-sozan raat bhar uThTha dhuan mujhse

Ahsan Ahmad Ashk

MORE BYAhsan Ahmad Ashk

    maiñ thā ik sham-e-sozāñ raat bhar uThThā dhuāñ mujh se

    sunī duniyā ne sau sau tarah dil dāstāñ mujh se

    mujhe niiñd aa ga.ī thī raah ThanDī havāoñ meñ

    maiñ ik vāmāñda huuñ pūchho hadīs-e-kārvāñ mujh se

    mire dil tamanna turra-e-dastār-e-gulchīñ ho

    aur us par ye qayāmat daad māñge bāġhbāñ mujh se

    sarāpā mātam-e-nazzāra hai āñkhoñ māyūsī

    ki parda uTh chukā hai aur jalve haiñ nihāñ mujh se

    maiñ chup huuñ 'ashk' lekin bāvajūd-e-zabt-e-betābi

    vo āñḳheñ kar rahī haiñ pursish-e-jurm-e-fuġhāñ mujh se

    main tha ek sham-e-sozan raat bhar uThTha dhuan mujh se

    suni duniya ne sau sau tarah dil ki dastan mujh se

    mujhe nind aa gai thi rah ki ThanDi hawaon mein

    main ek wamanda hun puchho hadis-e-karwan mujh se

    mere dil ki tamanna turra-e-dastar-e-gulchin ho

    aur us par ye qayamat dad mange baghban mujh se

    sarapa matam-e-nazzara hai aankhon ki mayusi

    ki parda uTh chuka hai aur jalwe hain nihan mujh se

    main chup hun 'ashk' lekin bawajud-e-zabt-e-betabi

    wo aanKHen kar rahi hain pursish-e-jurm-e-fughan mujh se

    Source:

    Barq-o-Baran (Pg. 81)

    • Author: Ahsan Ahmad Ashk
      • Publisher: Quran Manzil, Dhaka
      • Year of Publication: 1949
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now