Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main to muflis hun kahan mujh mein ana ki KHushbu

Zahid Konchvi

main to muflis hun kahan mujh mein ana ki KHushbu

Zahid Konchvi

MORE BYZahid Konchvi

    maiñ to muflis huuñ kahāñ mujh meñ anā ḳhushbū

    mere ehsās se lipTī hai vafā ḳhushbū

    ḳhushbueñ aur bhī dilkash haiñ jahāñ meñ lekin

    sab se behtar hai mirī maañ duā ḳhushbū

    T v jis roz se kamre meñ sajāyā ham ne

    ghar meñ aatī nahīñ hamd-o-sanā ḳhushbū

    dil vīrān fazāoñ meñ umangeñ jāgīñ

    paikar-e-husn se mahkī jo hayā ḳhushbū

    us se mil kar huuñ mo.attar maiñ abhī tak 'zāhid'

    us ke kirdār se aatī hai balā ḳhushbū

    main to muflis hun kahan mujh mein ana ki KHushbu

    mere ehsas se lipTi hai wafa ki KHushbu

    KHushbuen aur bhi dilkash hain jahan mein lekin

    sab se behtar hai meri man ki dua ki KHushbu

    T w jis roz se kamre mein sajaya hum ne

    ghar mein aati hi nahin hamd-o-sana ki KHushbu

    dil ki viran fazaon mein umangen jagin

    paikar-e-husn se mahki jo haya ki KHushbu

    us se mil kar hun moattar main abhi tak 'zahid'

    us ke kirdar se aati hai bala ki KHushbu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now