Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main uske wasl se jaga to silsila tha wahi

Tajdar Adil

main uske wasl se jaga to silsila tha wahi

Tajdar Adil

MORE BYTajdar Adil

    maiñ us ke vasl se jaagā to silsila thā vahī

    ki hijr us thā vaisā marhala thā vahī

    dukān-e-shīsha-garāñ bhī sajā.ī thī us ne

    tamām shahr meñ patthar bhī bāñTtā thā vahī

    mujhe gumān ke sab rāste usī ne diye

    mire yaqīñ ke diye bhī jalā rahā thā vahī

    visāl us baratnā thā hijr likhnā bhī

    ki tez dhuup meñ bārish rāsta thā vahī

    parinde dhuup shiddat se ghar ke āñgan meñ

    palaT ke aa.e to dekhā ki mas.ala thā vahī

    vo ik yaqīn se jaatā thā chhoḌ kar mujh ko

    nibāhne magar dil meñ hausla thā vahī

    na.e visāl ke mausam meñ jo badan bhīgā

    hujūm-e-hijr meñ dekhā to jal rahā thā vahī

    maiñ jis rāhoñ se vāpas palaTne vaalā thā

    nazar uThā.ī to ik roz aa rahā thā vahī

    maiñ apne ḳhvāboñ dastak se jaag uThā 'ādil'

    bahut rāteñ thiiñ aur sab meñ rat-jagā thā vahī

    main us ke wasl se jaga to silsila tha wahi

    ki hijr us ka tha waisa hi marhala tha wahi

    dukan-e-shisha-garan bhi sajai thi us ne

    tamam shahr mein patthar bhi banTta tha wahi

    mujhe guman ke sab raste usi ne diye

    mere yaqin ke diye bhi jala raha tha wahi

    visal us ka baratna tha hijr likhna bhi

    ki tez dhup mein barish ka rasta tha wahi

    parinde dhup ki shiddat se ghar ke aangan mein

    palaT ke aae to dekha ki masala tha wahi

    wo ek yaqin se jata tha chhoD kar mujh ko

    nibahne ka magar dil mein hausla tha wahi

    nae visal ke mausam mein jo badan bhiga

    hujum-e-hijr mein dekha to jal raha tha wahi

    main jis ki rahon se wapas palaTne wala tha

    nazar uThai to ek roz aa raha tha wahi

    main apne KHwabon ki dastak se jag uTha 'adil'

    bahut si raaten thin aur sab mein rat-jaga tha wahi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Tajdar Adil

    Tajdar Adil

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now