main use jaane kya samajhti hun
maiñ use jaane kyā samajhtī huuñ
is jahāñ se judā samajhtī huuñ
tū raqīboñ se miltā hai aksar
kahtā hai maiñ burā samajhtī huuñ
vo zabāñ kholtā nahīñ mujh se
maiñ nazar kā kahā samajhtī huuñ
main use jaane kya samajhti hun
is jahan se juda samajhti hun
tu raqibon se milta hai aksar
kahta hai main bura samajhti hun
wo zaban kholta nahin mujh se
main nazar ka kaha samajhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.