Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main yun to nahin hai ki mohabbat mein nahin tha

Zafar Iqbal

main yun to nahin hai ki mohabbat mein nahin tha

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    maiñ yuuñ to nahīñ hai ki mohabbat meñ nahīñ thā

    albatta kabhī itnī musībat meñ nahīñ thā

    asbāb to paidā bhī hue the magar ab ke

    us shoḳh se milnā mirī qismat meñ nahīñ thā

    tai maiñ ne kiyā din safar jis havas meñ

    dekhā to vahī raat ziyāfat meñ nahīñ thā

    ik lahr thī ġhā.eb thī jo tūfān-e-havā se

    ik lafz thā jo ḳhat 'ibārat meñ nahīñ thā

    kaifiyyateñ saarī thiiñ faqat hijr tak us ke

    maiñ sāmne aa kar kisī hālat meñ nahīñ thā

    badle ga.e ehsās ke andāz ab ke

    dariyā bayāñ dil hikāyat meñ nahīñ thā

    be-rabt ik shor rahā shahr meñ kuchh din

    maiñ thā bhī yahāñ par to haqīqat meñ nahīñ thā

    laġhzish huī kuchh mujh se bhī tuġhyān-e-talab meñ

    kuchh vo bhī 'zafar' apnī tabī'at meñ nahīñ thā

    main yun to nahin hai ki mohabbat mein nahin tha

    albatta kabhi itni musibat mein nahin tha

    asbab to paida bhi hue the magar ab ke

    us shoKH se milna meri qismat mein nahin tha

    tai main ne kiya din ka safar jis ki hawas mein

    dekha to wahi raat ziyafat mein nahin tha

    ek lahr thi ghaeb thi jo tufan-e-hawa se

    ek lafz tha jo KHat ki 'ibarat mein nahin tha

    kaifiyyaten sari thin faqat hijr tak us ke

    main samne aa kar kisi haalat mein nahin tha

    badle gae ehsas ke andaz hi ab ke

    dariya ka bayan dil ki hikayat mein nahin tha

    be-rabt sa ek shor raha shahr mein kuchh din

    main tha bhi yahan par to haqiqat mein nahin tha

    laghzish hui kuchh mujh se bhi tughyan-e-talab mein

    kuchh wo bhi 'zafar' apni tabi'at mein nahin tha

    Source :
    • Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 51)
    • Author : Zafar Iqbal
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now