Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main zaban-e-KHalq par ek zamzama ban jaunga

Abdussamad ’Tapish’

main zaban-e-KHalq par ek zamzama ban jaunga

Abdussamad ’Tapish’

MORE BYAbdussamad ’Tapish’

    maiñ zabān-e-ḳhalq par ik zamzama ban jā.ūñgā

    is tarah bikhrūñgā maiñ ki qāfila ban jā.ūñgā

    shab tanhā.ī meñ bhī tanhā nahīñ rah pāoge

    maiñ tumhāre vāste ik mas.ala ban jā.ūñgā

    gard-e-māzī se nikal kar hāl-o-mustaqbil ke biich

    aatī jaatī lahr ik silsila ban jā.ūñgā

    mujh tak aa kar yuuñ guzar jaanā to kuchh āsāñ nahīñ

    har qadam par dā.era-dar-dā.era ban jā.ūñgā

    be-sukūñ lamhāt meñ mujh ko barat kar dekhnā

    maiñ sukūn-e-qalb ik vāsta ban jā.ūñgā

    rāste masdūd hoñ to maiñ tumhāre vāste

    irtiqā.ī manziloñ rābta ban jā.ūñgā

    main zaban-e-KHalq par ek zamzama ban jaunga

    is tarah bikhrunga main ki qafila ban jaunga

    shab ki tanhai mein bhi tanha nahin rah paoge

    main tumhaare waste ek masala ban jaunga

    gard-e-mazi se nikal kar haal-o-mustaqbil ke bich

    aati jati lahr ka ek silsila ban jaunga

    mujh tak aa kar yun guzar jaana to kuchh aasan nahin

    har qadam par daera-dar-daera ban jaunga

    be-sukun lamhat mein mujh ko barat kar dekhna

    main sukun-e-qalb ka ek wasta ban jaunga

    raste masdud hon to main tumhaare waste

    irtiqai manzilon ka rabta ban jaunga

    Source:

    Zakhmon Ke Silsile (Pg. 14)

    • Author: Abdussamad ’Tapish’
      • Publisher: Ashraf Publication, Kolkata
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now