Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main zaKHm zaKHm rahun ruh ke KHarabon se

Atta Shad

main zaKHm zaKHm rahun ruh ke KHarabon se

Atta Shad

MORE BYAtta Shad

    maiñ zaḳhm zaḳhm rahūñ ruuh ke ḳharāboñ se

    jism jism dahaktā rahe gulāboñ se

    kisī chaal ne nashshe ras kashīd kiyā

    kisī jism tarāshā gayā sharāboñ se

    sabā haath hai aur hai tire gudāz lams

    maiñ jāgtā rahūñ garm garm ḳhvāboñ se

    qadam qadam hai chakā-chauñd chāhatoñ charāġh

    maiñ shahr-e-ā.ina jaltā huuñ āftāboñ se

    'atā' badan ye karvaT bhī nīm-shab kyā thī

    tamām umr ujaltā huuñ inqilāboñ se

    main zaKHm zaKHm rahun ruh ke KHarabon se

    tu jism jism dahakta rahe gulabon se

    kisi ki chaal ne nashshe ka ras kashid kiya

    kisi ka jism tarasha gaya sharabon se

    saba ka hath hai aur hai tere gudaz ka lams

    main jagta hi rahun garm garm KHwabon se

    qadam qadam hai chaka-chaund chahaton ka charagh

    main shahr-e-aina jalta hun aaftabon se

    'ata' badan ki ye karwaT bhi nim-shab kya thi

    tamam umr ujalta hun inqilabon se

    Source:

    naquush (Pg. 276)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now