Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majal kis ki hai ai sitamgar sunae tujhko jo chaar baaten

Dagh Dehlvi

majal kis ki hai ai sitamgar sunae tujhko jo chaar baaten

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    majāl kis hai ai sitamgar sunā.e tujh ko jo chaar bāteñ

    bhalā kiyā e.atibār ne hazār muñh haiñ hazār bāteñ

    jo kaifiyat dekhnī hai zāhid to chal ke dekh mai-kade meñ

    bahak bahak kar maze maze sunā.eñge bāda-ḳhvār bāteñ

    fasāna-e-dard-o-ġham sunāyā to bole vo jhūTh boltā hai

    sunī huī hai bahut kahānī na ham se aisī baghār bāteñ

    abhī se hai kuchh udaas qāsid abhī se hai bad-havās qāsid

    sañbhal sañbhal kar samajh samajh kar karegā kyā be-qarār bāteñ

    tumhārī tahrīr meñ hai pahlū tumhārī taqrīr meñ hai jaadū

    phañse na kis tarah dil hamārā jahāñ hoñ ye pechdār bāteñ

    burī balā hai ye 'dāġh'-e-pur-fan tum is ko hargiz na muñh lagānā

    vagarna Dhab par lagā legā sunīñ agar us chaar bāteñ

    majal kis ki hai ai sitamgar sunae tujh ko jo chaar baaten

    bhala kiya eatibar tu ne hazar munh hain hazar baaten

    jo kaifiyat dekhni hai zahid to chal ke tu dekh mai-kade mein

    bahak bahak kar maze maze ki sunaenge baada-KHwar baaten

    fasana-e-dard-o-gham sunaya to bole wo jhuTh bolta hai

    suni hui hai bahut kahani na hum se aisi baghaar baaten

    abhi se hai kuchh udas qasid abhi se hai bad-hawas qasid

    sanbhal sanbhal kar samajh samajh kar karega kya be-qarar baaten

    tumhaari tahrir mein hai pahlu tumhaari taqrir mein hai jadu

    phanse na kis tarah dil hamara jahan hon ye pechdar baaten

    buri bala hai ye 'dagh'-e-pur-fan tum is ko hargiz na munh lagana

    wagarna Dhab par laga hi lega sunin agar us ki chaar baaten

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now