un ko bulaen aur wo na aaen to kya karen
un ko bulā.eñ aur vo na aa.eñ to kyā kareñ
bekār jaa.eñ apnī duā.eñ to kyā kareñ
ik zohara-vash hai aañkh ke pardoñ meñ jalvagar
nazroñ meñ āsmāñ na samā.eñ to kyā kareñ
maanā ki sab ke sāmne milne se hai hijāb
lekin vo ḳhvāb meñ bhī na aa.eñ to kyā kareñ
ham laakh qasmeñ khā.eñ na milne kī sab ġhalat
vo duur hī se dil ko lubhā.eñ to kyā kareñ
bad-qismatoñ kā yaad na karne pe hai ye haal
allāh agar vo yaad hī aa.eñ to kyā kareñ
nāseh hamārī tauba meñ kuchh shak nahīñ magar
shāna hilā.eñ aa ke ghaTā.eñ to kyā kareñ
mai-ḳhāna duur rāsta tārīk ham marīz
muñh pher deñ udhar jo havā.eñ to kyā kareñ
rātoñ ke dil meñ yaad basā.eñ kisī kī ham
'aḳhtar' haram meñ vo na bulā.eñ to kyā kareñ
un ko bulaen aur wo na aaen to kya karen
bekar jaen apni duaen to kya karen
ek zohara-wash hai aankh ke pardon mein jalwagar
nazron mein aasman na samaen to kya karen
mana ki sab ke samne milne se hai hijab
lekin wo KHwab mein bhi na aaen to kya karen
hum lakh qasmen khaen na milne ki sab ghalat
wo dur hi se dil ko lubhaen to kya karen
bad-qismaton ka yaad na karne pe hai ye haal
allah agar wo yaad hi aaen to kya karen
naseh hamari tauba mein kuchh shak nahin magar
shana hilaen aa ke ghaTaen to kya karen
mai-KHana dur rasta tarik hum mariz
munh pher den udhar jo hawaen to kya karen
raaton ke dil mein yaad basaen kisi ki hum
'aKHtar' haram mein wo na bulaen to kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.