Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte

Irfan Sattar

majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    majlis-e-ġham, na koī bazm-e-tarab, kyā karte

    ghar sakte the āvāra-e-shab, kyā karte

    ye to achchhā kyā tanhā.ī 'ādat rakkhī

    tab use chhoḌ diyā hotā to ab kyā karte

    raushnī, rañg, mahak, tā.ir-e-ḳhush-lahn, sabā

    na aatā jo chaman meñ to ye sab kyā karte

    dil ġham dil meñ liye lauT ga.e ham chup-chāp

    koī suntā na thā shor-o-shaġhab kyā karte

    baat karne meñ hameñ kaun dushvārī thī

    us āñkhoñ se taḳhātub thā so lab kyā karte

    kuchh kyā hotā to phir zo'm bhī achchhā lagtā

    ham ziyāñ-kār the, elān-e-nasab kyā karte

    dekh kar tujh ko sirhāne tire bīmār-e-junūñ

    jāñ-ba-lab the, so hue āh-ba-lab kyā karte

    ne dīvānoñ se muñh moḌ liyā, Thiik kyā

    in kuchh Thiik nahīñ thā ki ye kab kyā karte

    jo suḳhan-sāz churāte haiñ mirā tarz-e-suḳhan

    un apnā na koī taur, na Dhab, kyā karte

    yahī honā thā jo 'irfān' tire saath huā

    munkir-e-'mīr' bhalā terā adab kyā karte

    majlis-e-gham, na koi bazm-e-tarab, kya karte

    ghar hi ja sakte the aawara-e-shab, kya karte

    ye to achchha kya tanhai ki 'adat rakkhi

    tab use chhoD diya hota to ab kya karte

    raushni, rang, mahak, tair-e-KHush-lahn, saba

    tu na aata jo chaman mein to ye sab kya karte

    dil ka gham dil mein liye lauT gae hum chup-chap

    koi sunta hi na tha shor-o-shaghab kya karte

    baat karne mein hamein kaun si dushwari thi

    us ki aankhon se taKHatub tha so lab kya karte

    kuchh kya hota to phir zo'm bhi achchha lagta

    hum ziyan-kar the, elan-e-nasab kya karte

    dekh kar tujh ko sirhane tere bimar-e-junun

    jaan-ba-lab the, so hue aah-ba-lab kya karte

    tu ne diwanon se munh moD liya, Thik kya

    in ka kuchh Thik nahin tha ki ye kab kya karte

    jo suKHan-saz churaate hain mera tarz-e-suKHan

    un ka apna na koi taur, na Dhab, kya karte

    yahi hona tha jo 'irfan' tere sath hua

    munkir-e-'mir' bhala tera adab kya karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now