Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

majnun ka jo ai laila juta na phaTa hota

Zareef Lakhnavi

majnun ka jo ai laila juta na phaTa hota

Zareef Lakhnavi

MORE BYZareef Lakhnavi

    majnūñ jo ai lailā juutā na phaTā hotā

    pīchhe tire naaqe ke kyuuñ barahna-pā hotā

    be-fā.eda ġhul machtā kyā jāniye kyā hotā

    gar un galī hotī aur merā galā hotā

    hotā agar aadam duniyā meñ koī bhaa.ī

    nasl-e-banī-ādam vallāh chachā hotā

    gar qais vahshat kuchh uuñT asar letā

    lailā ko girā detā aur bhaag khaḌā hotā

    muflis se ziyāda-tar mun.im gursana haiñ

    kyuuñ roz havā khāte gar peT bharā hotā

    vo ban ke masīhā bhī achchhā jo na kar sakte

    bīmār tire haq meñ ye aur burā hotā

    mādūm dahan hotā mafqūd kamar hotī

    ma.ashūq 'zarīf' aisā hotā bhī to kyā hotā

    majnun ka jo ai laila juta na phaTa hota

    pichhe tere naqe ke kyun barahna-pa hota

    be-faeda ghul machta kya jaaniye kya hota

    gar un ki gali hoti aur mera gala hota

    hota agar aadam ka duniya mein koi bhai

    nasl-e-bani-adam ka wallah chacha hota

    gar qais ki wahshat ka kuchh unT asar leta

    laila ko gira deta aur bhag khaDa hota

    muflis se ziyaada-tar munim hi gursana hain

    kyun roz hawa khate gar peT bhara hota

    wo ban ke masiha bhi achchha jo na kar sakte

    bimar tere haq mein ye aur bura hota

    madum dahan hota mafqud kamar hoti

    mashuq 'zarif' aisa hota bhi to kya hota

    Source:

    Intikhabe Kalam Zareef (Pg. E-28 B-29)

      • Edition: 2004
      • Publisher: Mohammad Najmul Hasan
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now