Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan deta kahan tha aman miTTi ka

Azhar Kamal Khan

makan deta kahan tha aman miTTi ka

Azhar Kamal Khan

MORE BYAzhar Kamal Khan

    makān detā kahāñ thā amaan miTTī

    makīn chhoḌ ga.e ye jahān miTTī

    jaane kaunsī bārish bahā ke le jaa.e

    khaḌā huuñ sar pe liye sā.ebāñ miTTī

    zamīñ ko tang samajhte ho kis liye itnā

    ye shukr hai ki nahīñ āsmān miTTī

    tumhāre lams ḳhushbū hai aaj tak is meñ

    mahak rahā hai abhī phūl-dān miTTī

    bikhar rahā huuñ havā meñ kuchh is tarah ab to

    badan pe hone lagā hai gumān miTTī

    maiñ Dar rahā huuñ ki māyūs na ho 'az.har'

    ki le rahā hai koī imtihān miTTī

    makan deta kahan tha aman miTTi ka

    makin chhoD gae ye jahan miTTi ka

    na jaane kaunsi barish baha ke le jae

    khaDa hun sar pe liye saeban miTTi ka

    zamin ko tang samajhte ho kis liye itna

    ye shukr hai ki nahin aasman miTTi ka

    tumhaare lams ki KHushbu hai aaj tak is mein

    mahak raha hai abhi phul-dan miTTi ka

    bikhar raha hun hawa mein kuchh is tarah ab to

    badan pe hone laga hai guman miTTi ka

    main Dar raha hun ki mayus hi na ho 'azhar'

    ki le raha hai koi imtihan miTTi ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now