Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan mein qaid-e-sada ki dahshat

Muneer Niyazi

makan mein qaid-e-sada ki dahshat

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    makāñ meñ qaid-e-sadā dahshat

    makāñ se bāhar ḳhalā dahshat

    havā hai ḳhauf-e-ḳhudā se ḳhālī

    hai is nagar meñ balā dahshat

    ghirā huā huuñ maiñ har taraf se

    hai aa.ine meñ havā dahshat

    zamīñ pe har samt hadd-e-āḳhir

    falak pe lā-intihā dahshat

    shajar ke saa.e meñ maut dekho

    samar meñ us ke fanā dahshat

    makan mein qaid-e-sada ki dahshat

    makan se bahar KHala ki dahshat

    hawa hai KHauf-e-KHuda se KHali

    hai is nagar mein bala ki dahshat

    ghira hua hun main har taraf se

    hai aaine mein hawa ki dahshat

    zamin pe har samt hadd-e-aKHir

    falak pe la-intiha ki dahshat

    shajar ke sae mein maut dekho

    samar mein us ke fana ki dahshat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now