Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maKHmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind

Siraj Aurangabadi

maKHmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    maḳhmūr chashmoñ tabrīd karne kuuñ shabnam hai sardāb shoroñ mānind

    ruupe ke thāle safedī hai nargis zardī hai zar ke kaToroñ mānind

    dārā.ī-e-surḳh in jāma-zeboñ ne āshiq ke lohū se rañgīñ kiye haiñ

    be-ḳhud ho kahtā huuñ kyā ḳhuub lagte haiñ mere kaleje ke qoroñ mānind

    ai dast-e-mashāta tuuñ jab señ pahūñchā hai us zulf-e-mushkīñ shāna-e-kashī kuuñ

    āshiq aahoñ ke in saaf rishtoñ meñ girhāñ haiñ uñglī poroñ mānind

    ye tañgī unhoñ ke dahan na pāvegā apne garebāñ meñ sar ko navā tuuñ

    ai ġhuncha bāġhī ho mahtāb-rūoñ siiñ mat ḳhanda-pan kar chakoroñ mānind

    dil ke ḳhazāne señ shāyad lejāvegā ke javāhar kuuñ ayyāriyoñ señ

    har dam ḳhayāl us āñkhoñ ke rauzan siiñ aatā hai chhup-chhup ki choroñ mānind

    ġham ke pahāḌoñ kuuñ sar par uThā.e haiñ vahshat ke panjoñ siiñ aahoñ ne merī

    dil ke akhāḌe meñ ab kaun ham-sar hai un pahalvānoñ ke zoroñ mānind

    parvāna rañgoñ ke urs-e-judā.ī meñ sair-e-charāġhāñ hai jān-e-'sirāj' aaj

    raushan fatīle haiñ aahoñ ke sho.aloñ ke siine meñ kore sakoroñ mānind

    maKHmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind

    rupe ke thaale safedi hai nargis ki zardi hai zar ke kaToron ki manind

    darai-e-surKH in jama-zebon ne aashiq ke lohu se rangin kiye hain

    be-KHud ho kahta hun kya KHub lagte hain mere kaleje ke qoron ki manind

    ai dast-e-mashata tun jab sen pahuncha hai us zulf-e-mushkin ki shana-e-kashi kun

    aashiq ki aahon ke in saf rishton mein girhan hain ungli ki poron ki manind

    ye tangi unhon ke dahan ki na pawega apne gareban mein sar ko nawa tun

    ai ghuncha baghi ho mahtab-ruon sin mat KHanda-pan kar chakoron ki manind

    dil ke KHazane sen shayad lejawega ji ke jawahar kun ayyariyon sen

    har dam KHayal us ka aankhon ke rauzan sin aata hai chhup-chhup ki choron ki manind

    gham ke pahaDon kun sar par uThae hain wahshat ke panjon sin aahon ne meri

    dil ke akhaDe mein ab kaun ham-sar hai un pahalwanon ke zoron ki manind

    parwana rangon ke urs-e-judai mein sair-e-charaghan hai jaan-e-'siraj' aaj

    raushan fatile hain aahon ke shoalon ke sine mein kore sakoron ki manind

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 387)
    • Author : Siraj Aurangabadi
    • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
    • Edition : 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now