Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di

Farhan Salim

makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di

Farhan Salim

MORE BYFarhan Salim

    makr-e-hayāt ruḳh qabā bhī utaar

    ham ne taḌap taḌap ke ye shab bhī guzār

    ab ham pe ḳhaak dekhiye kis dasht paḌe

    yaañ to azān-e-sub.h sar-e-auj-e-dār

    ab tum karo surāġh-e-jamāl-e-butāñ talāsh

    ham ne tumheñ amānat-e-chashm-o-azār

    dekhī haiñ yuuñ bhī chāragaroñ karāmateñ

    zaḳhm-e-lahū-lahū ko davā ḳhaar ḳhaar

    yuuñ bhī kiyā hai ham ne haq-e-dilbarī adā

    apnī jiit apne hāthoñ se haar

    'sālim' ḳhushā hai us ko bahut tujh pe e'timād

    jis ne tujhe aziyyat-e-dil be-shumār

    makr-e-hayat ruKH ki qaba bhi utar di

    hum ne taDap taDap ke ye shab bhi guzar di

    ab hum pe KHak dekhiye kis dasht ki paDe

    yan to azan-e-subh sar-e-auj-e-dar di

    ab tum karo suragh-e-jamal-e-butan talash

    hum ne tumhein amanat-e-chashm-o-azar di

    dekhi hain yun bhi chaaragaron ki karamaten

    zaKHm-e-lahu-lahu ko dawa KHar KHar di

    yun bhi kiya hai hum ne haq-e-dilbari ada

    apni hi jit apne hi hathon se haar di

    'salim' KHusha hai us ko bahut tujh pe e'timad

    jis ne tujhe aziyyat-e-dil be-shumar di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now