Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

Meer Mohammadi Bedar

maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

Meer Mohammadi Bedar

MORE BYMeer Mohammadi Bedar

    maktab meñ tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

    har tifl ke yaañ ashk se ālūda varaq hai

    huuñ muntazir us mahr ke aane varna

    shabnam tarah āñkhoñ meñ dam koī ramaq hai

    dekh ai chaman-e-husn tujhe baaġh meñ ḳhandāñ

    shabnam nahīñ ye gul pe ḳhajālat se araq hai

    vo chāñd muñh surḳh dupaTTa meñ hai raḳhshāñ

    mahr kahūñ jalva-numā zer-e-shafaq hai

    nargis zar-o-gul pe bhī chashm-e-tama hai

    is par ki zar-o-sīm us paas tabaq hai

    dil us but-e-be-mehr ko de muft khoyā

    kahte haiñ jo kuchh yaar mujhe vāqa.ī haq hai

    juz tere nahīñ ġhair ko rah dil ke nagar meñ

    jab se ki tire ishq yaañ nazm-o-nasaq hai

    mazkūr huā yaañ magar us gul ke dahan

    jo rashk se har ġhuncha dil baaġh meñ shaq hai

    kar masqala-e-zikr se dil saaf apnā

    'bedār' ye ā.īna tajallī-gah-e-haq hai

    maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

    har tifl ke yan ashk se aaluda waraq hai

    hun muntazir us mahr ke aane hi ka warna

    shabnam ki tarah aankhon mein dam koi ramaq hai

    dekh ai chaman-e-husn tujhe bagh mein KHandan

    shabnam nahin ye gul pe KHajalat se araq hai

    wo chand sa munh surKH dupaTTa mein hai raKHshan

    ya mahr kahun jalwa-numa zer-e-shafaq hai

    nargis ki zar-o-gul pe bhi wa chashm-e-tama hai

    is par ki zar-o-sim ka us pas tabaq hai

    dil us but-e-be-mehr ko de muft hi khoya

    kahte hain jo kuchh yar mujhe waqai haq hai

    juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar mein

    jab se ki tere ishq ka yan nazm-o-nasaq hai

    mazkur hua yan magar us gul ke dahan ka

    jo rashk se har ghuncha ka dil bagh mein shaq hai

    kar masqala-e-zikr se dil saf tu apna

    'bedar' ye aaina tajalli-gah-e-haq hai

    Source:

    Deewan-e-Bedar (Pg. 102)

      • Edition: 1937
      • Publisher: Hindustaanii Academy, Allahabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now