Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

malal ye hai masail ka hal banate hue

Syed Anser

malal ye hai masail ka hal banate hue

Syed Anser

MORE BYSyed Anser

    malāl ye hai masā.il hal banāte hue

    gañvā ke baiTh ga.e aaj kal banāte hue

    ghise-piTe hue lahjoñ meñ kuchh nahīñ rakkhā

    nayā rañg nikālo ġhazal banāte hue

    ba-zāhir ek pal meñ badal gayā sab kuchh

    ka.ī zamāne lage ek pal banāte hue

    kahāñ se DhūñD ke lāoge ab mire jaisā

    ḳhayāl karte mujhe be-badal banāte hue

    ajiib sho.ala-e-ehsās lapeT meñ haiñ

    jhulaste jaate haiñ kāġhaz pe thal banāte hue

    ye regzār ye andhī havā ye phuul jaan

    bikhar chalā huuñ irāde aTal banāte hue

    lahū meñ lahr uThātī hai us yaad to kyā

    safīne chalte haiñ dariyā meñ chhal banāte hue

    patā hai kitnī mashaqqat uThānī paḌtī hai

    kisī ḳhayāl ko zarbul-masal banāte hue

    malal ye hai masail ka hal banate hue

    ganwa ke baiTh gae aaj kal banate hue

    ghise-piTe hue lahjon mein kuchh nahin rakkha

    naya hi rang nikalo ghazal banate hue

    ba-zahir ek hi pal mein badal gaya sab kuchh

    kai zamane lage ek pal banate hue

    kahan se DhunD ke laoge ab mere jaisa

    KHayal karte mujhe be-badal banate hue

    ajib shoala-e-ehsas ki lapeT mein hain

    jhulaste jate hain kaghaz pe thal banate hue

    ye regzar ye andhi hawa ye phul si jaan

    bikhar chala hun irade aTal banate hue

    lahu mein lahr uThati hai us ki yaad to kya

    safine chalte hain dariya mein chhal banate hue

    pata hai kitni mashaqqat uThani paDti hai

    kisi KHayal ko zarbul-masal banate hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now