Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de

Ghalib Ahmad

manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de

Ghalib Ahmad

MORE BYGhalib Ahmad

    manzar-e-hosh se aage bhī nazar jaane de

    rahā hai ye musāfir to udhar jaane de

    terī āvāz parvāz meñ hai merā vajūd

    apnī guftār ke pardoñ meñ bikhar jaane de

    na koī chashm-e-tamannā na koī dast-e-duā

    zindagī mujhe be-laus guzar jaane de

    tere qābil bhī nahīñ tere muqābil bhī nahīñ

    ham-safar saath mujhe apne magar jaane de

    to hai husn-e-azal aur mirā rañg-e-ġhazal

    merī āvāz meñ bhī kuchh to asar jaane de

    mere ash.ār meñ sadiyoñ ke talātum shu.ūr

    kaash un ko zarā dil meñ utar jaane de

    manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de

    ja raha hai ye musafir to udhar jaane de

    teri aawaz ki parwaz mein hai mera wajud

    apni guftar ke pardon mein bikhar jaane de

    na koi chashm-e-tamanna na koi dast-e-dua

    zindagi tu mujhe be-laus guzar jaane de

    tere qabil bhi nahin tere muqabil bhi nahin

    ham-safar sath mujhe apne magar jaane de

    tu to hai husn-e-azal aur mera rang-e-ghazal

    meri aawaz mein bhi kuchh to asar jaane de

    mere ashaar mein sadiyon ke talatum ka shuur

    kash tu un ko zara dil mein utar jaane de

    Source:

    Rahat-e-Gumnam (Pg. 45)

    • Author: Ghalib Ahmad
      • Publisher: Niyaz Ahmad
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now