Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil bhi milegi raste mein tum rahguzar ki baat karo

Parvez Shahidi

manzil bhi milegi raste mein tum rahguzar ki baat karo

Parvez Shahidi

MORE BYParvez Shahidi

    manzil bhī milegī raste meñ tum rāhguzar baat karo

    āġhāz-e-safar se pahle kyuuñ anjām-e-safar baat karo

    zālim ne liyā hai sharmā kar phir gosha-e-dāmāñ chuTkī meñ

    hai vaqt ki tum bebākī se ab dīda-e-tar baat karo

    aayā hai chaman meñ mausam-e-gul aa.ī haiñ havā.eñ zindāñ tak

    dīvār bāteñ ho leñgī is vaqt to dar baat karo

    hai tez havā hiltā hai qafas ḳhatre meñ paḌī hai har tiilī

    fariyād-e-asīrī band karo ab jumbish-e-par baat karo

    kyuuñ dār-o-rasan ke saa.e meñ mansūr bāteñ karte ho

    rakhnā hai jo ūñchā sar apnā to apne sar baat karo

    kyuuñ ahl-e-junūñ arbāb-e-ḳhirad mahfil meñ ḳhāmosh raheñ

    vo apne hunar baat kareñ tum apne hunar baat karo

    kyā barbat-o-daf dam toḌ chuke maut aa ga.ī kyā har naġhme ko

    tum mutrib-e-jām-o-mīnā ho kyuuñ teġh o sipar baat karo

    manzil bhi milegi raste mein tum rahguzar ki baat karo

    aaghaz-e-safar se pahle kyun anjam-e-safar ki baat karo

    zalim ne liya hai sharma kar phir gosha-e-daman chuTki mein

    hai waqt ki tum bebaki se ab dida-e-tar ki baat karo

    aaya hai chaman mein mausam-e-gul aai hain hawaen zindan tak

    diwar ki baaten ho lengi is waqt to dar ki baat karo

    hai tez hawa hilta hai qafas KHatre mein paDi hai har tili

    fariyaad-e-asiri band karo ab jumbish-e-par ki baat karo

    kyun dar-o-rasan ke sae mein mansur ki baaten karte ho

    rakhna hai jo uncha sar apna to apne hi sar ki baat karo

    kyun ahl-e-junun arbab-e-KHirad ki mahfil mein KHamosh rahen

    wo apne hunar ki baat karen tum apne hunar ki baat karo

    kya barbat-o-daf dam toD chuke maut aa gai kya har naghme ko

    tum mutrib-e-jam-o-mina ho kyun tegh o sipar ki baat karo

    Source:

    Bhasha Sangam (Quterly Patna) (Pg. 232)

    • Author: B. Pradhan,Managing Editor Imteyaz Ahmad Karimi
      • Edition: July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
      • Publisher: Urdu Directorate Flate No. 202, C Block, Afirs Hotle, Beli Road, Patna
      • Year of Publication: July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now