manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin
manzil darāz-o-dūr hai aur ham meñ dam nahīñ
huuñ rail par savār to dām-o-diram nahīñ
maidān-e-zindagī meñ kareñ dauḌ-dhūp kyā
ham aise nā-tavāñ haiñ ki uThtā qadam nahīñ
kyā ḳhuub haath paañv ḳhudā ne 'atā kiye
chalte raheñ to hājat ḳhīl-o-ḳhadam nahīñ
aġhyār kyuuñ daḳhīl haiñ bazm-e-surūr meñ
maanā ki yaar kam haiñ par itne to kam nahīñ
jab tak hai ishq-o-āshiq-o-ma.ashūq meñ tamīz
khultā kisī pe rāz-e-hadūs-o-qidam nahīñ
aadam pe mo'tariz hoñ farishte to kyā ajab
chakhī hanūz chāshnī-e-zahr-e-ġham nahīñ
iz.hār-e-hāl kā bhī zarī'ā nahīñ rahā
dil itnā jal gayā hai ki āñkhoñ meñ nam nahīñ
tū hī nahīñ hai ramz-e-mohabbat se āshnā
varna dayār-e-husn meñ rasm-e-sitam nahīñ
irshād-e-tab.a kī na agar pairvī kare
naqqashi-e-ḳhayāl majāl-e-qalam nahīñ
sar hī ke bal ga.e haiñ sadā rahravān-e-ishq
hairat-zada na ban ki nishān-e-qadam nahīñ
kaisī talab kahāñ kī talab kis liye talab
ham haiñ to vo nahīñ hai jo vo hai to ham nahīñ
manzil daraaz-o-dur hai aur hum mein dam nahin
hun rail par sawar to dam-o-diram nahin
maidan-e-zindagi mein karen dauD-dhup kya
hum aise na-tawan hain ki uThta qadam nahin
kya KHub hath panw KHuda ne 'ata kiye
chalte rahen to hajat KHil-o-KHadam nahin
aghyar kyun daKHil hain bazm-e-surur mein
mana ki yar kam hain par itne to kam nahin
jab tak hai ishq-o-ashiq-o-mashuq mein tamiz
khulta kisi pe raaz-e-hadus-o-qidam nahin
aadam pe mo'tariz hon farishte to kya ajab
chakhi hanuz chashni-e-zahr-e-gham nahin
izhaar-e-haal ka bhi zari'a nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin
tu hi nahin hai ramz-e-mohabbat se aashna
warna dayar-e-husn mein rasm-e-sitam nahin
irshad-e-taba ki na agar pairwi kare
naqqashi-e-KHayal majal-e-qalam nahin
sar hi ke bal gae hain sada rahrawan-e-ishq
hairat-zada na ban ki nishan-e-qadam nahin
kaisi talab kahan ki talab kis liye talab
hum hain to wo nahin hai jo wo hai to hum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.