Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil dikha ke rahrawi saunp di gai

Ali Ejaz Tamimi

manzil dikha ke rahrawi saunp di gai

Ali Ejaz Tamimi

MORE BYAli Ejaz Tamimi

    manzil dikhā ke rāhravī sauñp ga.ī

    ya.anī ki ġham milā ke ḳhushī sauñp ga.ī

    bantā rahā thā anā savāl vo

    achchhā huā jo us kamī sauñp ga.ī

    baad az firāq aur manzar ayaañ hue

    aañsū piye to ḳhuub hañsī sauñp ga.ī

    duniyā ko mere dil se charāġhāñ kiyā gayā

    had hai mujhī ko tīra-shabī sauñp ga.ī

    ai yaar dekh vo to baḌe ḳhush-nasīb the

    jin nazar ko diid tirī sauñp ga.ī

    mere junūñ ko de ke safar koh-e-qāf

    ik aur shaḳhs ko vo parī sauñp ga.ī

    ye dūriyoñ baat to bachchoñ baat thī

    juuñ javān ho ke palī sauñp ga.ī

    dard-e-shab-e-firāq sadā un ḳhair ho

    jin ko pilā ke tishna-labī sauñp ga.ī

    ham log jo baḌoñ ke muḳhālif the is liye

    be-faiz daur jhūTī sadī sauñp ga.ī

    nā-mumkināt meñ thī koī chāhat-e-nihāñ

    paḌhne lagā jo nād-e-alī sauñp ga.ī

    merī hayāt jaise kisī thal garmiyāñ

    us bevafā ko sair mirī sauñp ga.ī

    'e.ajāz' kal darāz se nikle ka.ī ḳhutūt

    rāhat ek dard-bharī sauñp ga.ī

    manzil dikha ke rahrawi saunp di gai

    yani ki gham mila ke KHushi saunp di gai

    banta hi ja raha tha ana ka sawal wo

    achchha hua jo us ki kami saunp di gai

    baad az firaq aur hi manzar ayan hue

    aansu piye to KHub hansi saunp di gai

    duniya ko mere dil se charaghan kiya gaya

    had hai mujhi ko tira-shabi saunp di gai

    ai yar dekh wo to baDe KHush-nasib the

    jin ki nazar ko did teri saunp di gai

    mere junun ko de ke safar koh-e-qaf ka

    ek aur shaKHs ko wo pari saunp di gai

    ye duriyon ki baat to bachchon si baat thi

    jun hi jawan ho ke pali saunp di gai

    dard-e-shab-e-firaq sada un ki KHair ho

    jin ko pila ke tishna-labi saunp di gai

    hum log jo baDon ke muKHalif the is liye

    be-faiz daur jhuTi sadi saunp di gai

    na-mumkinat mein thi koi chahat-e-nihan

    paDhne laga jo nad-e-ali saunp di gai

    meri hayat jaise kisi thal ki garmiyan

    us bewafa ko sair meri saunp di gai

    'eajaz' kal daraaz se nikle kai KHutut

    rahat si ek dard-bhari saunp di gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now