Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye

Ashok Sawhny

manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye

Ashok Sawhny

MORE BYAshok Sawhny

    manzil-e-sidq-o-safā rāsta apnā.iye

    kārvān-e-zindagī ke rahnumā ban jā.iye

    ham ne maanā har taraf tīra-shabī raaj hai

    aap sūraj haiñ agar raushnī phailā.iye

    aa.ina patthar se Takrānā zarūrī to nahīñ

    baat jab hai aa.ine se aa.ina Takrā.iye

    aap ko tīra-shabī se is qadar kyuuñ ḳhauf hai

    ho sake to ek jugnū muqābil lā.iye

    ye to sach hai zindagī zinda-dilī naam hai

    zindagī ke naam par itnā bhī mat itrā.iye

    gar yuuñ kartā rahā mujh ko zamāna pā.emāl

    aap ko sab kyā kaheñge ġhaur to farmā.iye

    ye bhī ik sastā andāz-e-siyāsat hai 'ashok'

    kuchh na kiije baiTh kar bas tabsire farmā.iye

    manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye

    karwan-e-zindagi ke rahnuma ban jaiye

    hum ne mana har taraf tira-shabi ka raj hai

    aap suraj hain agar tu raushni phailaiye

    aaina patthar se Takrana zaruri to nahin

    baat jab hai aaine se aaina Takraiye

    aap ko tira-shabi se is qadar kyun KHauf hai

    ho sake to ek jugnu hi muqabil laiye

    ye to sach hai zindagi zinda-dili ka nam hai

    zindagi ke nam par itna bhi mat itraiye

    gar yun hi karta raha mujh ko zamana paemal

    aap ko sab kya kahenge ghaur to farmaiye

    ye bhi ek sasta sa andaz-e-siyasat hai 'ashok'

    kuchh na kije baiTh kar bas tabsire farmaiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now