Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil jo maine pai to shashdar bhi main hi tha

Qateel Shifai

manzil jo maine pai to shashdar bhi main hi tha

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    manzil jo maiñ ne paa.ī to shashdar bhī maiñ thā

    vo is liye ki raah patthar bhī maiñ thā

    shak ho chalā thā mujh ko ḳhud apnī zaat par

    jhāñkā to apne ḳhol ke andar bhī maiñ thā

    hoñge mire vajūd ke saa.e alag alag

    varna barūn-e-dar bhī pas-e-dar bhī maiñ thā

    pūchh us se jo ravāna hue kaaT kar mujhe

    rāh-e-vafā meñ shāḳh-e-sanobar bhī maiñ thā

    āsūda jis qadar vo huā mujh ko oḌh kar

    kal raat us ke jism chādar bhī maiñ thā

    mujh ko Darā rahī thī zamāne ham-sarī

    dekhā to apne qad ke barābar bhī maiñ thā

    ā.īna dekhne pe jo nādim huā 'qatīl'

    mulk-e-zamīr vo sikandar bhī maiñ thā

    manzil jo main ne pai to shashdar bhi main hi tha

    wo is liye ki rah ka patthar bhi main hi tha

    shak ho chala tha mujh ko KHud apni hi zat par

    jhanka to apne KHol ke andar bhi main hi tha

    honge mere wajud ke sae alag alag

    warna barun-e-dar bhi pas-e-dar bhi main hi tha

    puchh us se jo rawana hue kaT kar mujhe

    rah-e-wafa mein shaKH-e-sanobar bhi main hi tha

    aasuda jis qadar wo hua mujh ko oDh kar

    kal raat us ke jism ki chadar bhi main hi tha

    mujh ko Dara rahi thi zamane ki ham-sari

    dekha to apne qad ke barabar bhi main hi tha

    aaina dekhne pe jo nadim hua 'qatil'

    mulk-e-zamir ka wo sikandar bhi main hi tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    manzil jo maine pai to shashdar bhi main hi tha Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now