manzil nahin bandhi koi jada nahin bandha
manzil nahīñ bāñdhī koī jaada nahīñ bāñdhā
maiñ ne kahīñ jaane kā irāda nahīñ bāñdhā
maiñ dast-e-talab rakkhūñ kisī aur ke aage
itnā bhī zarūrat ko kushāda nahīñ bāñdhā
khultī hī chalī jaatī hai har shaḳhs kī gaThrī
achchhā hai ki dil had se ziyāda nahīñ bāñdhā
jitnā ki samajhtā hai tū aisā bhī nahīñ hai
bāñdhā hai magar itnā bhī saada nahīñ bāñdhā
tā'vīz-e-mohabbat hai ise pahn ke rakhnā
gardan meñ koī terī qilāda nahīñ bāñdhā
maiñ jāntā huuñ farq-e-shutur-gurba mire dost
asvār ke hamrāh piyāda nahīñ bāñdhā
ik baar idhar aa gayā to aa gayā 'kaunain'
ab vāpsī jaane kā irāda nahīñ bāñdhā
manzil nahin bandhi koi jada nahin bandha
main ne kahin jaane ka irada nahin bandha
main dast-e-talab rakkhun kisi aur ke aage
itna bhi zarurat ko kushada nahin bandha
khulti hi chali jati hai har shaKHs ki gaThri
achchha hai ki dil had se ziyaada nahin bandha
jitna ki samajhta hai tu aisa bhi nahin hai
bandha hai magar itna bhi sada nahin bandha
ta'wiz-e-mohabbat hai ise pahn ke rakhna
gardan mein koi teri qilada nahin bandha
main jaanta hun farq-e-shutur-gurba mere dost
aswar ke hamrah piyaada nahin bandha
ek bar idhar aa gaya to aa gaya 'kaunain'
ab wapsi jaane ka irada nahin bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.