Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzil pe pahunchne ko taron pe nazar rakhte

Hameeda Moeen Rizvi

manzil pe pahunchne ko taron pe nazar rakhte

Hameeda Moeen Rizvi

MORE BYHameeda Moeen Rizvi

    manzil pe pahuñchne ko tāroñ pe nazar rakhte

    jab shahr basāyā thā rastoñ ḳhabar rakhte

    kahte ho añdherā hai koī nahīñ chehra hai

    īmān yaqīñ hotā āñkhoñ meñ sahar rakhte

    ilzām-tarāshī se ab kuchh bhī nahīñ hāsil

    jab aa.e ġhanīm andar laḌne hunar rakhte

    is qaht-e-rijālāñ meñ qaa.id bhī nahīñ milte

    jo qāfla-e-dil ko mā.il-ba-safar rakhte

    ham ḳhaak ke zarroñ sūrat meñ pareshāñ haiñ

    tāqat ko jam.a karte to barq-o-sharar rakhte

    ham sab sag-e-māya haiñ haDDī pe jhapaTte haiñ

    aise meñ kisī par kyā ab ḳhaak asar rakhte

    sahrā tapish har kargas baserā hai

    har shai jo jalā hai kuchh baaqī shajar rakhte

    ik marg-e-musalsal hai afkār haiñ yaḳh-basta

    sahrā harārat ko sho.aloñ jigar rakhte

    manzil pe pahunchne ko taron pe nazar rakhte

    jab shahr basaya tha raston ki KHabar rakhte

    kahte ho andhera hai koi nahin chehra hai

    iman yaqin hota aankhon mein sahar rakhte

    ilzam-tarashi se ab kuchh bhi nahin hasil

    jab aae ghanim andar laDne ka hunar rakhte

    is qaht-e-rijalan mein qaid bhi nahin milte

    jo qafla-e-dil ko mail-ba-safar rakhte

    hum KHak ke zarron ki surat mein pareshan hain

    taqat ko jama karte to barq-o-sharar rakhte

    hum sab sag-e-maya hain haDDi pe jhapaTte hain

    aise mein kisi par kya ab KHak asar rakhte

    sahra ki tapish har su kargas ka basera hai

    har shai jo jala di hai kuchh baqi shajar rakhte

    ek marg-e-musalsal hai afkar hain yaKH-basta

    sahra ki hararat ko shoalon sa jigar rakhte

    Source:

    Sheesh Nagar (Pg. 168)

    • Author: Hameeda Moeen Rizvi
      • Publisher: Maktaba Adab Lateef, Karachi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now