Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzilen ek si aawaragiyan ek si hain

Ahmad Faraz

manzilen ek si aawaragiyan ek si hain

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    manzileñ ek āvāragiyāñ ek haiñ

    muḳhtalif ho ke bhī sab zindagiyāñ ek haiñ

    koī qāsid ho ki nāseh koī āshiq ki adū

    sab us shoḳh se vābastagiyāñ ek haiñ

    dasht-e-majnūñ na sahī tesha-e-farhād sahī

    safar-e-ishq meñ vāmāndgiyāñ ek haiñ

    ye alag baat ki ehsās judā hoñ varna

    rāhateñ ek afsurdagiyāñ ek haiñ

    sūfī-o-rind ke maslak meñ sahī laakh tazād

    mastiyāñ ek vāraftagiyāñ ek haiñ

    vasl ho hijr ho qurbat ho ki duurī ho 'farāz'

    saarī kaifiyyateñ sab tishnagiyāñ ek haiñ

    manzilen ek si aawaragiyan ek si hain

    muKHtalif ho ke bhi sab zindagiyan ek si hain

    koi qasid ho ki naseh koi aashiq ki adu

    sab ki us shoKH se wabastagiyan ek si hain

    dasht-e-majnun na sahi tesha-e-farhad sahi

    safar-e-ishq mein wamandgiyan ek si hain

    ye alag baat ki ehsas juda hon warna

    rahaten ek si afsurdagiyan ek si hain

    sufi-o-rind ke maslak mein sahi lakh tazad

    mastiyan ek si waraftagiyan ek si hain

    wasl ho hijr ho qurbat ho ki duri ho 'faraaz'

    sari kaifiyyaten sab tishnagiyan ek si hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now