manzur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai
Interesting Fact
1852
manzūr hai guzārish-e-ahvāl-e-vāqa.ī
apnā bayān husn-e-tabī.at nahīñ mujhe
sau pusht se hai pesha-e-ābā sipah-garī
kuchh shā'irī zarīya-e-'izzat nahīñ mujhe
āzāda-rau huuñ aur mirā maslak hai sulh-e-kul
hargiz kabhī kisī se adāvat nahīñ mujhe
kyā kam hai ye sharaf ki 'zafar' kā ġhulām huuñ
maanā ki jāh-o-mansab-o-sarvat nahīñ mujhe
ustād-e-shah se ho mujhe parḳhāsh kā ḳhayāl
ye taab ye majāl ye tāqat nahīñ mujhe
jām-e-jahāñ-numā hai shahanshāh kā zamīr
saugand aur gavāh kī hājat nahīñ mujhe
maiñ kaun aur reḳhta haañ is se mudda.ā
juz imbisāt-e-ḳhātir-e-hazrat nahīñ mujhe
sahrā likhā gayā zarā imtisāl-e-amr
dekhā ki chāra ġhair-e-itā.at nahīñ mujhe
maqta' meñ aa paḌī hai suḳhan-gustarāna baat
maqsūd is se qat'-e-mohabbat nahīñ mujhe
rū-e-suḳhan kisī kī taraf ho to rū-siyāh
saudā nahīñ junūñ nahīñ vahshat nahīñ mujhe
qismat burī sahī pe tabī'at burī nahīñ
hai shukr kī jagah ki shikāyat nahīñ mujhe
sādiq huuñ apne qaul meñ 'ġhālib' ḳhudā gavāh
kahtā huuñ sach ki jhuuT kī 'ādat nahīñ mujhe
manzur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai
apna bayan husn-e-tabiat nahin mujhe
sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari
kuchh sha'iri zariya-e-'izzat nahin mujhe
aazada-rau hun aur mera maslak hai sulh-e-kul
hargiz kabhi kisi se adawat nahin mujhe
kya kam hai ye sharaf ki 'zafar' ka ghulam hun
mana ki jah-o-mansab-o-sarwat nahin mujhe
ustad-e-shah se ho mujhe parKHash ka KHayal
ye tab ye majal ye taqat nahin mujhe
jam-e-jahan-numa hai shahanshah ka zamir
saugand aur gawah ki hajat nahin mujhe
main kaun aur reKHta han is se muddaa
juz imbisat-e-KHatir-e-hazrat nahin mujhe
sahra likha gaya zara imtisal-e-amr
dekha ki chaara ghair-e-itaat nahin mujhe
maqta' mein aa paDi hai suKHan-gustarana baat
maqsud is se qat'-e-mohabbat nahin mujhe
ru-e-suKHan kisi ki taraf ho to ru-siyah
sauda nahin junun nahin wahshat nahin mujhe
qismat buri sahi pe tabi'at buri nahin
hai shukr ki jagah ki shikayat nahin mujhe
sadiq hun apne qaul mein 'ghaalib' KHuda gawah
kahta hun sach ki jhuT ki 'adat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.