Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maqsud-e-jaan-o-dil shah-e-zishan aap hain

Tahavvur Ali Zaidi

maqsud-e-jaan-o-dil shah-e-zishan aap hain

Tahavvur Ali Zaidi

MORE BYTahavvur Ali Zaidi

    maqsūd-e-jān-o-dil shah-e-zīshān aap haiñ

    haqqā ki merā diiñ mirā īmān aap haiñ

    taḳhlīq-e-kā.enāt hai mansūb aap se

    unvān-e-zindagī bahar-unvān aap haiñ

    ham āsiyoñ ke paas kuchh is ke sivā nahīñ

    baḳhshish hai agar koī sāmān aap haiñ

    insāniyat kartī hai takmīl jis zaat

    vallāh is jahāñ meñ vo insān aap haiñ

    duniyā justujū hai na uqbā aarzū

    merī nazar ke sāmne har aan aap haiñ

    tūfāñ meñ nāḳhudā zarūrat nahīñ mujhe

    maiñ aap huuñ mere nigahbān aap haiñ

    allāh vajūd to dekhā nahīñ magar

    allāh ke vajūd pahchān aap haiñ

    'zaidī' bayāñ sifāt hoñ kyā muḳhtasar ye hai

    ham par ḳhudā zaat ehsān aap haiñ

    maqsud-e-jaan-o-dil shah-e-zishan aap hain

    haqqa ki mera din mera iman aap hain

    taKHliq-e-kaenat hai mansub aap se

    unwan-e-zindagi bahar-unwan aap hain

    hum aasiyon ke pas kuchh is ke siwa nahin

    baKHshish ka hai agar koi saman aap hain

    insaniyat ki karti hai takmil jis ki zat

    wallah is jahan mein wo insan aap hain

    duniya ki justuju hai na uqba ki aarzu

    meri nazar ke samne har aan aap hain

    tufan mein naKHuda ki zarurat nahin mujhe

    main aap ka hun mere nigahban aap hain

    allah ka wajud to dekha nahin magar

    allah ke wajud ki pahchan aap hain

    'zaidi' bayan sifat hon kya muKHtasar ye hai

    hum par KHuda ki zat ka ehsan aap hain

    Source:

    Numood-e-Subh (Pg. 63)

    • Author: Tahavvur Ali Zaidi
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now