mar gae kuchh maut se kuchh zindagi se mar gae
mar ga.e kuchh maut se kuchh zindagī se mar ga.e
aur kuchh jo bach ga.e vo ḳhud-kushī se mar ga.e
maut aisī chiiz hai jab dar pe aa.ī milne to
marne vaale jiite jiite ājizī se mar ga.e
kah rahe apnī zabānī muskurā ke chārāgar
chārasāz-e-zaḳhm-e-dil kī jo kamī se mar ga.e
kyā kareñ kis se shikāyat ham ke zāhid sab yahāñ
bebasī meñ the jiye aur bekasī se mar ga.e
maiñ ne to samjhāyā thā sab hai yahāñ ahl-e-jafā
dil lagāne ko chale the dil-lagī se mar ga.e
un ko dete the sadā.eñ chāroñ jānib bārhā
chup rahe vo aur ham bhī ḳhāmushī se mar ga.e
kuchh ko saaqī kī hai raġhbat aur kuchh ko e'tirāz
tauba tauba karne vaale mai-kashī se mar ga.e
jī rahe kitne divāne terī shoḳhī se sanam
ham to lekin bas tumhārī sādgī se mar ga.e
mar ga.e kitne hī jānāñ terī ik muskān par
aur jaanā kitne terī be-ruḳhī se mar ga.e
qāfiyoñ kī har ibārat un kī nazroñ ne likhī
un kī āñkheñ paḌhne vaale shā.irī se mar ga.e
raat kī tārīkiyoñ se kyā kareñ 'sādiq' gila
jugnuoñ kī bhiiḌ meñ ham raushnī se mar ga.e
mar gae kuchh maut se kuchh zindagi se mar gae
aur kuchh jo bach gae wo KHud-kushi se mar gae
maut aisi chiz hai jab dar pe aai milne to
marne wale jite jite aajizi se mar gae
kah rahe apni zabani muskura ke chaaragar
chaarasaz-e-zaKHm-e-dil ki jo kami se mar gae
kya karen kis se shikayat hum ke zahid sab yahan
bebasi mein the jiye aur bekasi se mar gae
main ne to samjhaya tha sab hai yahan ahl-e-jafa
dil lagane ko chale the dil-lagi se mar gae
un ko dete the sadaen chaaron jaanib barha
chup rahe wo aur hum bhi KHamushi se mar gae
kuchh ko saqi ki hai raghbat aur kuchh ko e'tiraaz
tauba tauba karne wale mai-kashi se mar gae
ji rahe kitne diwane teri shoKHi se sanam
hum to lekin bas tumhaari sadgi se mar gae
mar gae kitne hi jaanan teri ek muskan par
aur jaana kitne teri be-ruKHi se mar gae
qafiyon ki har ibarat un ki nazron ne likhi
un ki aankhen paDhne wale shairi se mar gae
raat ki tarikiyon se kya karen 'sadiq' gila
jugnuon ki bhiD mein hum raushni se mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.