Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi

Fani Badayuni

mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    mar kar marīz-e-ġham vo hālat nahīñ rahī

    yā'nī vo iztirāb sūrat nahīñ rahī

    har lamha-e-hayāt rahā vaqf kār-e-shauq

    marne 'umr bhar mujhe fursat nahīñ rahī

    ek nāla-e-ḳhamosh musalsal hai aur ham

    yādash-ba-ḳhair zabt tāqat nahīñ rahī

    vo ahd-e-dil-farebi-e-tāsīr ab kahāñ

    muddat se aah aah hasrat nahīñ rahī

    dil aur havā-e-silsila-e-jambāni-e-nashāt

    kyuuñ pās-e-vaz-e-ġham tujhe ġhairat nahīñ rahī

    har be-gunāh se vāda-e-baḳhshish hai roz-e-hashr

    goyā gunāh bhī zarūrat nahīñ rahī

    ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gayā

    taklīf parda-dāri-e-hasrat nahīñ rahī

    pathrā ga.ī thī aañkh magar band to na thī

    ab ye bhī intizār sūrat nahīñ rahī

    'ibrat ne bekasī nishāñ bhī miTā diyā

    uḌtī thī jis pe ḳhaak vo turbat nahīñ rahī

    mahshar meñ bhī vo 'ahd-e-vafā se mukar ga.e

    jis ḳhushī thī ab vo qayāmat nahīñ rahī

    kis muñh se ġham ke zabt dā'vā kare koī

    tāqat ba-qadr-e-hasrat-e-rāhat nahīñ rahī

    'fānī' umīd-e-marg ne bhī de diyā javāb

    jiine hijr meñ koī sūrat nahīñ rahī

    mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi

    ya'ni wo iztirab ki surat nahin rahi

    har lamha-e-hayat raha waqf kar-e-shauq

    marne ki 'umr bhar mujhe fursat nahin rahi

    ek nala-e-KHamosh musalsal hai aur hum

    yaadash-ba-KHair zabt ki taqat nahin rahi

    wo ahd-e-dil-farebi-e-tasir ab kahan

    muddat se aah aah ki hasrat nahin rahi

    dil aur hawa-e-silsila-e-jambani-e-nashat

    kyun pas-e-waz-e-gham tujhe ghairat nahin rahi

    har be-gunah se wada-e-baKHshish hai roz-e-hashr

    goya gunah ki bhi zarurat nahin rahi

    ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gaya

    taklif parda-dari-e-hasrat nahin rahi

    pathra gai thi aankh magar band to na thi

    ab ye bhi intizar ki surat nahin rahi

    'ibrat ne bekasi ka nishan bhi miTa diya

    uDti thi jis pe KHak wo turbat nahin rahi

    mahshar mein bhi wo 'ahd-e-wafa se mukar gae

    jis ki KHushi thi ab wo qayamat nahin rahi

    kis munh se gham ke zabt ka da'wa kare koi

    taqat ba-qadr-e-hasrat-e-rahat nahin rahi

    'fani' umid-e-marg ne bhi de diya jawab

    jine ki hijr mein koi surat nahin rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now