mar ke bhi ku-e-salib-o-dar se uTThe nahin
mar ke bhī kū-e-salīb-o-dār se uTThe nahīñ
bik gayā sab phir bhī ham bāzār se uTThe nahīñ
ek ġham aisā ki jo ġham-ḳhvār se uTThe nahīñ
aur davā aisī ki jo bīmār se uTThe nahīñ
qatl kī apne ḳhabar chhapvā nahīñ lī jab talak
tab talak ham daftar-e-aḳhbār se uTThe nahīñ
haar jaane ke sabhī ilzām un ke sar ga.e
chand lāshe jo sipah-sālār se uTThe nahīñ
aap ke dukh bhī nahīñ bāñTe ga.e to kyā huā
kuchh mire ġham bhī mire ġham-ḳhvār se uTThe nahīñ
mar ke bhi ku-e-salib-o-dar se uTThe nahin
bik gaya sab phir bhi hum bazar se uTThe nahin
ek gham aisa ki jo gham-KHwar se uTThe nahin
aur dawa aisi ki jo bimar se uTThe nahin
qatl ki apne KHabar chhapwa nahin li jab talak
tab talak hum daftar-e-aKHbar se uTThe nahin
haar jaane ke sabhi ilzam un ke sar gae
chand lashe jo sipah-salar se uTThe nahin
aap ke dukh bhi nahin banTe gae to kya hua
kuchh mere gham bhi mere gham-KHwar se uTThe nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.