Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mard KHush-KHu nahin to phir kya hai

Shah Akbar Danapuri

mard KHush-KHu nahin to phir kya hai

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    mard ḳhush-ḳhū nahīñ to phir kyā hai

    phuul meñ nahīñ to phir kyā hai

    ho parī-rū hazār koī hasīn

    ādmī-ḳhū nahīñ to phir kyā hai

    kaun bastā hai ka.abe ke andar

    ālam-e-hū nahīñ to phir kyā hai

    vahī āñkheñ haiñ aisī vahshat

    yaar aahū nahīñ to phir kyā hai

    mutahayyar haiñ kyoñ ye ahl-e-nazar

    har jagah nahīñ to phir kyā hai

    maiñ musaḳhḳhar huā in āñkhoñ

    in meñ jaadū nahīñ to phir kyā hai

    rang-o-bū donoñ gul ko lāzim haiñ

    rang hai nahīñ to phir kyā hai

    dostoñ bhī qatl-e-ām kiyā

    halākū nahīñ to phir kyā hai

    hai qattāl-e-dahr dil meñ tire

    faiz-e-rājū nahīñ to phir kyā hai

    haiñ yahāñ sard-mehr sab māshūq

    dakan aabū nahīñ to phir kyā hai

    dil meñ faujeñ haiñ yās-o-hasrat

    ab ye kampū nahīñ to phir kyā hai

    jab talak hai sau bakheḌe haiñ

    jis ghaḌī nahīñ to phir kyā hai

    ho jo dushman vo dost ban jaa.e

    ḳhulq jaadū nahīñ to phir kyā hai

    ḳhvāb meñ dekhtā huuñ maiñ kaale

    yād-e-gesū nahīñ to phir kyā hai

    charḳh par chaḌh ke ban gayā mah-e-nau

    terā abrū nahīñ to phir kyā hai

    jis ke kahne meñ dil ho vo diler

    us pe qaabū nahīñ to phir kyā hai

    murda-dil sun ke uThe 'akbar'

    sher jaadū nahīñ to phir kyā hai

    mard KHush-KHu nahin to phir kya hai

    phul mein bu nahin to phir kya hai

    ho pari-ru hazar koi hasin

    aadmi-KHu nahin to phir kya hai

    kaun basta hai kabe ke andar

    aalam-e-hu nahin to phir kya hai

    wahi aankhen hain aisi hi wahshat

    yar aahu nahin to phir kya hai

    mutahayyar hain kyon ye ahl-e-nazar

    har jagah tu nahin to phir kya hai

    main musaKHKHar hua in aankhon ka

    in mein jadu nahin to phir kya hai

    rang-o-bu donon gul ko lazim hain

    rang hai bu nahin to phir kya hai

    doston ka bhi qatl-e-am kiya

    tu halaku nahin to phir kya hai

    tu hai qattal-e-dahr dil mein tere

    faiz-e-raju nahin to phir kya hai

    hain yahan sard-mehr sab mashuq

    dakan aabu nahin to phir kya hai

    dil mein faujen hain yas-o-hasrat ki

    ab ye kampu nahin to phir kya hai

    jab talak tu hai sau bakheDe hain

    jis ghaDi tu nahin to phir kya hai

    ho jo dushman wo dost ban jae

    KHulq jadu nahin to phir kya hai

    KHwab mein dekhta hun main kale

    yaad-e-gesu nahin to phir kya hai

    charKH par chaDh ke ban gaya mah-e-nau

    tera abru nahin to phir kya hai

    jis ke kahne mein dil ho wo hi diler

    us pe qabu nahin to phir kya hai

    murda-dil sun ke ji uThe 'akbar'

    sher jadu nahin to phir kya hai

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 314)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now