Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho

Gauhar Hoshiyarpuri

marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho

Gauhar Hoshiyarpuri

MORE BYGauhar Hoshiyarpuri

    marhala tai koī be-minnat-e-jāda bhī to ho

    ġham baḌhe bhī to sahī dard ziyāda bhī to ho

    aisī mushkil to nahīñ dasht-e-vafā tasḳhīr

    sar meñ saudā bhī to ho dil meñ irāda bhī to ho

    zehn mashvara-e-tark-e-talab bhī bar-haq

    zehn baat qubūl-e-dil-e-sāda bhī to ho

    kahīñ bādal kahīñ sūraj kahīñ saaya kahīñ dhuup

    mire ma.abūd tirā koī labāda bhī to ho

    pyaar meñ kam to nahīñ kam-nigahī bhī us

    haañ tunak-zarfī-e-ehsās kushāda bhī to ho

    āshiqī sarmad-o-mansūr se kuchh ḳhaas nahīñ

    mast lekin koī be-zahmat-e-bāda bhī to ho

    zarf-e-īzā-talabī ġham bhī parakh leñ 'gauhar'

    us se ik roz na milne irāda bhī to ho

    marhala tai koi be-minnat-e-jada bhi to ho

    gham baDhe bhi to sahi dard ziyaada bhi to ho

    aisi mushkil to nahin dasht-e-wafa ki tasKHir

    sar mein sauda bhi to ho dil mein irada bhi to ho

    zehn ka mashwara-e-tark-e-talab bhi bar-haq

    zehn ki baat qubul-e-dil-e-sada bhi to ho

    kahin baadal kahin suraj kahin saya kahin dhup

    mere mabud tera koi labaada bhi to ho

    pyar mein kam to nahin kam-nigahi bhi us ki

    han tunak-zarfi-e-ehsas kushada bhi to ho

    aashiqi sarmad-o-mansur se kuchh KHas nahin

    mast lekin koi be-zahmat-e-baada bhi to ho

    zarf-e-iza-talabi gham bhi parakh len 'gauhar'

    us se ek roz na milne ka irada bhi to ho

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 460)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now