marna azab tha kabhi jina azab tha

Zaheer Kashmiri

marna azab tha kabhi jina azab tha

Zaheer Kashmiri

MORE BYZaheer Kashmiri

  marnā azaab thā kabhī jiinā azaab thā

  merā mushīr ishq ḳhāna-ḳharāb thā

  dil mar miTā tilāvat-e-ruḳhsār-e-yār meñ

  marhūm tiflagī se ahl-e-kitāb thā

  sochā to is habīb ko paayā qarīb-e-jāñ

  dekhā to āstīñ meñ chhupā āftāb thā

  vo bārgāh merī vafā javāz thī

  is āstāñ ḳhaak mirā shabāb thā

  merī har ek sub.h thī āġhosh-e-dilbarī

  merī har ek shaam unvāñ sharāb thā

  dil bhī sanam-parast nazar bhī sanam-parast

  is āshiqī meñ ḳhāna hama āftāb thā

  kab is siyāh-baḳht ne chhoḌā kisī saath

  dasht-e-junūñ meñ saaya mirā ham-rikāb thā

  kab ma.āl-e-jaur-o-jafā ko samajh sakā

  terā jamāl tere liye bhī hijāb thā

  jis daur ko faqīh ne isyāñ samajh liyā

  us daur meñ to ke bahaknā savāb thā

  vo husn kis qadar adab-āmoz thā 'zahīr'

  qad ḳhāma-e-ravāñ thā to chehra kitāb thā

  marna azab tha kabhi jina azab tha

  mera mushir ishq sa KHana-KHarab tha

  dil mar miTa tilawat-e-ruKHsar-e-yar mein

  marhum tiflagi se hi ahl-e-kitab tha

  socha to is habib ko paya qarib-e-jaan

  dekha to aastin mein chhupa aaftab tha

  wo bargah meri wafa ka jawaz thi

  is aastan ki KHak mera hi shabab tha

  meri har ek subh thi aaghosh-e-dilbari

  meri har ek sham ka unwan sharab tha

  dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast

  is aashiqi mein KHana hama aaftab tha

  kab is siyah-baKHt ne chhoDa kisi ka sath

  dasht-e-junun mein saya mera ham-rikab tha

  tu kab maal-e-jaur-o-jafa ko samajh saka

  tera jamal tere liye bhi hijab tha

  jis daur ko faqih ne isyan samajh liya

  us daur mein to pi ke bahakna sawab tha

  wo husn kis qadar adab-amoz tha 'zahir'

  qad KHama-e-rawan tha to chehra kitab tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY