Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do

Abdul Ahad Saaz

marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    marne puḳhta-ḳhayālī meñ jiine ḳhāmī rahne do

    ye istidlālī tark karo bas istifhāmī rahne do

    ye tez-ravī ye tursh-ruī chalne nahīñ hai duur talak

    shabnam-nazarī shīrīñ-suḳhanī āsūda-gāmī rahne do

    sau dasht samundar chhāno par aate raho qarya-e-dil tak bhī

    bairūnī havā ke jhoñkoñ meñ ik mauj-e-maqāmī rahne do

    ab tanz pe kyuuñ majbūr karo ham ġhair mulavvis logoñ ko

    fan pesh karo ye fahrist-e-asmā-e-girāmī rahne do

    raftār par itnī daad na do manzil na mirī chhīno mujh se

    az-rāh-e-hunar mire hisse thoḌī nākāmī rahne do

    jatlāte phiro gar qad apnā paimā.ish mohlat to na do

    is qāmat-e-bālā ke sadqe ye zūd-qayāmī rahne do

    ab ham se pareshāñ-hālāñ ko kyā amn-o-sukūñ raas aa.egā

    yūñhī bohrānī chalne do saarā hañgāmī rahne do

    ai 'sāz' vagarna log tumheñ Thahrā.eñge sāñpoñ maskan

    is shahr-e-aks-gazīda meñ ā.īna-fāmī rahne do

    marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do

    ye istidlali tark karo bas istifhami rahne do

    ye tez-rawi ye tursh-rui chalne ki nahin hai dur talak

    shabnam-nazari shirin-suKHani aasuda-gami rahne do

    sau dasht samundar chhano par aate raho qarya-e-dil tak bhi

    bairuni hawa ke jhonkon mein ek mauj-e-maqami rahne do

    ab tanz pe kyun majbur karo hum ghair mulawwis logon ko

    fan pesh karo ye fahrist-e-asma-e-girami rahne do

    raftar par itni dad na do manzil na meri chhino mujh se

    az-rah-e-hunar mere hisse ki thoDi nakaami rahne do

    jatlate phiro gar qad apna paimaish ki mohlat to na do

    is qamat-e-baala ke sadqe ye zud-qayami rahne do

    ab hum se pareshan-haalan ko kya amn-o-sukun ras aaega

    yunhi bohrani chalne do sara hangami rahne do

    ai 'saz' wagarna log tumhein Thahraenge sanpon ka maskan

    is shahr-e-aks-gazida mein aaina-fami rahne do

    Source:

    sargoshiyan zamanon ki (Pg. 51)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now