Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin

Anwar Shadani

martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin

Anwar Shadani

MORE BYAnwar Shadani

    martabe husn ke kam hoñ ye zarūrī to nahīñ

    aap bazm meñ ham hoñ ye zarūrī to nahīñ

    vo to maqsūm kuchh aur huā karte haiñ

    sab taqdīr meñ ġham hoñ ye zarūrī to nahīñ

    yuuñ bhī dīvāne sar-e-rāh bhaTak sakte haiñ

    aap zulf meñ ḳham hoñ ye zarūrī to nahīñ

    āshnā muflis-o-nādār majbūrī se

    zehn-e-arbāb-e-karam hoñ ye zarūrī to nahīñ

    vo to kuchh rāste maḳhsūs huā karte haiñ

    har jagah naqsh-e-qadam hoñ ye zarūrī to nahīñ

    chashm-e-sāqī kare rah rah ke ishāre 'anvar'

    aur phir hosh meñ ham hoñ ye zarūrī to nahīñ

    martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin

    aap ki bazm mein hum hon ye zaruri to nahin

    wo to maqsum hi kuchh aur hua karte hain

    sab ki taqdir mein gham hon ye zaruri to nahin

    yun bhi diwane sar-e-rah bhaTak sakte hain

    aap ki zulf mein KHam hon ye zaruri to nahin

    aashna muflis-o-nadar ki majburi se

    zehn-e-arbab-e-karam hon ye zaruri to nahin

    wo to kuchh raste maKHsus hua karte hain

    har jagah naqsh-e-qadam hon ye zaruri to nahin

    chashm-e-saqi kare rah rah ke ishaare 'anwar'

    aur phir hosh mein hum hon ye zaruri to nahin

    Source:

    Ghazal Rang (Pg. 50)

    • Author: Anwar Shadani
      • Publisher: Raja Offset, Nehru Nagar, Indore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now