Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida

Shamsur Rahman Faruqi

masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida

Shamsur Rahman Faruqi

MORE BYShamsur Rahman Faruqi

    masal kar pheñk duuñ āñkheñ to kuchh tanvīr ho paidā

    jo dil ḳhuun kar Dālūñ to phir tāsīr ho paidā

    agar dariyā muñh dekhūñ to qaid-e-naqsh-e-hairat huuñ

    jo sahrā gher le to halqa-e-zanjīr ho paidā

    sarāsar silsila patthar chashm-e-nam ke ghar meñ hai

    koī ab ḳhvāb dekhe bhī to kyuuñ ta.abīr ho paidā

    maiñ in ḳhālī manāzir lakīroñ meñ na uljhūñ to

    ḳhutūt jism se miltī koī tasvīr ho paidā

    lahū meñ ghul ga.e jo gul dobāra khil bhī sakte haiñ

    jo maiñ chāhūñ to siine par nishān-e-tīr ho paidā

    masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida

    jo dil ka KHun kar Dalun to phir tasir ho paida

    agar dariya ka munh dekhun to qaid-e-naqsh-e-hairat hun

    jo sahra gher le to halqa-e-zanjir ho paida

    sarasar silsila patthar ka chashm-e-nam ke ghar mein hai

    koi ab KHwab dekhe bhi to kyun tabir ho paida

    main in KHali manazir ki lakiron mein na uljhun to

    KHutut jism se milti koi taswir ho paida

    lahu mein ghul gae jo gul dobara khil bhi sakte hain

    jo main chahun to sine par nishan-e-tir ho paida

    Source:

    Ganj e Sokhta (Pg. 38)

    • Author: Shamsurrahman Faroqui
      • Edition: 1969
      • Publisher: Shab Khoon Kitab Ghar, Alahabad
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now