aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai

Salma shaheen

masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai

Salma shaheen

MORE BYSalma shaheen

    mas.ala husn-e-taḳhyyul hai na ilhām hai

    ye fasāna zarā mushkil dil-e-nākām hai

    rāt-din pahroñ-pahar us adā ke charche

    ye tamāsha bhī mire vāste kis kaam hai

    muskurāne lage har samt mohabbat ke charāġh

    tere chehre tasavvur bhī baḌe kaam hai

    suunī suunī thiiñ jo āñkheñ vo dobāra hañs deñ

    nazar aayā hai jo manzar vo usī shaam hai

    is ta'alluq koī rang na Dhalne paayā

    tazkira she'roñ meñ ab bhī usī gulfām hai

    le uḌiiñ zard havā.eñ mire ghar se ḳhushbū

    bām-o-dar kyā haiñ darīcha mire kis kaam hai

    fasl ho jaa.e to baḌhtī hai ḳhushī se duurī

    aap qurb ye sach hai baḌe ārām hai

    masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai

    ye fasana zara mushkil dil-e-nakaam ka hai

    raat-din pahron-pahar us ki ada ke charche

    ye tamasha bhi mere waste kis kaam ka hai

    muskurane lage har samt mohabbat ke charagh

    tere chehre ka tasawwur bhi baDe kaam ka hai

    suni suni thin jo aankhen wo dobara hans den

    nazar aaya hai jo manzar wo usi sham ka hai

    is ta'alluq ka koi rang na Dhalne paya

    tazkira she'ron mein ab bhi usi gulfam ka hai

    le uDin zard hawaen mere ghar se KHushbu

    baam-o-dar kya hain daricha mere kis kaam ka hai

    fasl ho jae to baDhti hai KHushi se duri

    aap ka qurb ye sach hai baDe aaram ka hai

    Source:

    Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 40)

    • Author: Salma Shaheen
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now