Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masarrat chiz kya hai ranj kya hai

Pandit Vidya Rattan Asi

masarrat chiz kya hai ranj kya hai

Pandit Vidya Rattan Asi

MORE BYPandit Vidya Rattan Asi

    masarrat chiiz kyā hai rañj kyā hai

    ye saarā khel ik ehsās hai

    bahār-e-zindagī kahte haiñ jis ko

    kisī ke ik tabassum ziyā hai

    ḳhatā-e-bevafā.ī aur ham se

    yaqīnan aap ko dhokā huā hai

    abhī badlī nahīñ insāñ fitrat

    ye ab bhī dushman-e-mehr-o-vafā hai

    kisī ke jaur had se guzarnā

    hamārī ḳhāmushī intihā hai

    kisī bazm tak ho kyā rasā.ī

    muqaddar hamārā nā-rasā hai

    use kyā vāsta dair-o-haram se

    vo jis ne rāz-e-ulfat liyā hai

    hazāroñ rāhateñ us par nichhāvar

    tumhārā ġham jise raas aa gayā hai

    kabhī sunte nahīñ haiñ aap varna

    hamāre dil meñ bhī ik mudda.ā hai

    maiñ un ko pūjtā huuñ jaañ se dil se

    vo jin ke dil meñ ehsās-e-vafā hai

    talātum-ḳhez maujoñ se guzar

    lab-e-sāhil khaḌā kyā sochtā hai

    hameñ mutlaq nahīñ ehsās 'āsī'

    hamārī zindagī be-āsrā hai

    masarrat chiz kya hai ranj kya hai

    ye sara khel ek ehsas ka hai

    bahaar-e-zindagi kahte hain jis ko

    kisi ke ek tabassum ki ziya hai

    KHata-e-bewafai aur hum se

    yaqinan aap ko dhoka hua hai

    abhi badli nahin insan ki fitrat

    ye ab bhi dushman-e-mehr-o-wafa hai

    kisi ke jaur ka had se guzarna

    hamari KHamushi ki intiha hai

    kisi ki bazm tak ho kya rasai

    muqaddar hi hamara na-rasa hai

    use kya wasta dair-o-haram se

    wo jis ne raaz-e-ulfat pa liya hai

    hazaron rahaten us par nichhawar

    tumhaara gham jise ras aa gaya hai

    kabhi sunte nahin hain aap warna

    hamare dil mein bhi ek muddaa hai

    main un ko pujta hun jaan se dil se

    wo jin ke dil mein ehsas-e-wafa hai

    talatum-KHez maujon se guzar ja

    lab-e-sahil khaDa kya sochta hai

    hamein mutlaq nahin ehsas 'asi'

    hamari zindagi be-asra hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now