Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masarrat ki ghaTaen hain wafur-e-shadmani hai

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

masarrat ki ghaTaen hain wafur-e-shadmani hai

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi

    masarrat ghaTā.eñ haiñ vafūr-e-shādmānī hai

    numāyāñ aaj gulshan meñ bahār-e-zindagānī hai

    uḌā diiñ dhajjiyāñ dāman apne josh-e-bahjat meñ

    chaman meñ aaj phūloñ ko bhī kitnī shādmānī hai

    agar ulfat na hotī zindagānī talḳh ho jaatī

    mohabbat haqīqat meñ bahār-e-jāvedānī hai

    suneñge aap kab tak ye fasāna dard-e-ulfat

    mire ayyām-e-rafta baḌī lambī kahānī hai

    agar ho zauq-e-ulfat phuul ban jaate haiñ kāñTe bhī

    mohabbat se jidhar dekho udhar shādmānī hai

    huī jaatī hai jab tausī’ mī.ād-e-asīrī meñ

    asīrān-e-qafas ko kyoñ phir itnī shādmānī hai

    yahī din haiñ nashāt-angeziyāñ phir kyoñ na hoñ in meñ

    murādeñ haiñ umangeñ haiñ ḳhudā rakkhe javānī hai

    masā.ib meñ guloñ se koī sīkhe shādmāñ rahnā

    garebāñ chaak hone par bhī kitnī shādmānī hai

    na ghabrānā masā.ib meñ 'zakī' mauj-e-havādis se

    are nādāñ mujāhid yahī to zindagānī hai

    masarrat ki ghaTaen hain wafur-e-shadmani hai

    numayan aaj gulshan mein bahaar-e-zindagani hai

    uDa din dhajjiyan daman ki apne josh-e-bahjat mein

    chaman mein aaj phulon ko bhi kitni shadmani hai

    agar ulfat na hoti zindagani talKH ho jati

    mohabbat hi haqiqat mein bahaar-e-jawedani hai

    sunenge aap kab tak ye fasana dard-e-ulfat ka

    mere ayyam-e-rafta ki baDi lambi kahani hai

    agar ho zauq-e-ulfat phul ban jate hain kanTe bhi

    mohabbat se jidhar dekho udhar hi shadmani hai

    hui jati hai jab tausi’ miad-e-asiri mein

    asiran-e-qafas ko kyon phir itni shadmani hai

    yahi din hain nashat-angeziyan phir kyon na hon in mein

    muraden hain umangen hain KHuda rakkhe jawani hai

    masaib mein gulon se koi sikhe shadman rahna

    gareban chaak hone par bhi kitni shadmani hai

    na ghabrana masaib mein 'zaki' mauj-e-hawadis se

    are nadan mujahid ki yahi to zindagani hai

    Source:

    Aaina-e-Ayyam (Pg. 13)

    • Author: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Publisher: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now