Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masarraton ka khila hai har ek samt chaman

Rifat Sultan

masarraton ka khila hai har ek samt chaman

Rifat Sultan

MORE BYRifat Sultan

    masarratoñ khilā hai har ek samt chaman

    magar ye dil ki hai phir bhī qatīl-e-ranj-o-mehan

    baḌe sukūn se zulfeñ sañvārne vaale

    kisī ziist na ban jaa.e mustaqil uljhan

    mire junūñ pe rahe log mo'tariz lekin

    na dekhe aah kisī ne tire ḳhutūt-e-badan

    abhī to harf-e-tamannā zikr tak bhī nahīñ

    abhī na Daal ḳhudā ke liye jabīñ pe shikan

    dil-e-fasurda meñ yuuñ terī yaad aa.ī hai

    shab-e-siyāh meñ jis tarah raushnī kiran

    ye kis ne jhuum ke mastī meñ hai añgḌā.ī

    fusūñ-tarāz hai ye kis rañg-e-pairāhan

    guzar gayā hai zamāna magar mujhe 'rif.at'

    hai ab bhī yaad kisī nigāh-e-tauba-shikan

    masarraton ka khila hai har ek samt chaman

    magar ye dil ki hai phir bhi qatil-e-ranj-o-mehan

    baDe sukun se zulfen sanwarne wale

    kisi ki zist na ban jae mustaqil uljhan

    mere junun pe rahe log mo'tariz lekin

    na dekhe aah kisi ne tere KHutut-e-badan

    abhi to harf-e-tamanna ka zikr tak bhi nahin

    abhi na Dal KHuda ke liye jabin pe shikan

    dil-e-fasurda mein yun teri yaad aai hai

    shab-e-siyah mein jis tarah raushni ki kiran

    ye kis ne jhum ke masti mein li hai angDai

    fusun-taraaz hai ye kis ka rang-e-pairahan

    guzar gaya hai zamana magar mujhe 'rifat'

    hai ab bhi yaad kisi ki nigah-e-tauba-shikan

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 397)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now