Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mashghala ye bhi bahut achchha hai lekin waqt par

Shahram Sarmadi

mashghala ye bhi bahut achchha hai lekin waqt par

Shahram Sarmadi

MORE BYShahram Sarmadi

    mashġhalā ye bhī bahut achchhā hai lekin vaqt par

    ham bhī farmā.eñge yaaro 'ishq ik din vaqt par

    haañ kahāñ se laa.eñ bām-o-dar bātoñ javāb

    haañ kareñge kyā pahuñch kar ghar tire bin vaqt par

    kaash ham is dard se yak-laḳht jaate najāt

    kaash Das letī hameñ ye hijr-nāgin vaqt par

    to zamīñ ko āsmāñ karne koshish Thiik hai

    sunte haiñ har chiiz ho jaatī hai mumkin vaqt par

    mashghala ye bhi bahut achchha hai lekin waqt par

    hum bhi farmaenge yaro 'ishq ek din waqt par

    han kahan se laen baam-o-dar ki baaton ka jawab

    han karenge kya pahunch kar ghar tere bin waqt par

    kash hum is dard se yak-laKHt pa jate najat

    kash Das leti hamein ye hijr-nagin waqt par

    to zamin ko aasman karne ki koshish Thik hai

    sunte hain har chiz ho jati hai mumkin waqt par

    Source :
    • Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 67)
    • Author : Shahram Sarmadi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now