Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mashhur chaman mein teri gul pairahani hai

Meer Taqi Meer

mashhur chaman mein teri gul pairahani hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    mash.hūr chaman meñ tirī gul pairahanī hai

    qurbāñ tire har uzv pe nāzuk-badanī hai

    uryānī-e-āshufta kahāñ jaa.e pas-az-marg

    kushta hai tirā aur yahī be-kafnī hai

    samjhe hai na parvāna na thāme hai zabāñ sham.a

    vo soḳhtanī hai to ye gardan-zadanī hai

    letā nikaltā hai mirā laḳht-e-jigar ashk

    aañsū nahīñ goyā ki ye hiire kanī hai

    bulbul kaf-e-ḳhāk bhī ab hogī pareshāñ

    jaame tire rañg sitamgar chimanī hai

    kuchh to ubhar ai sūrat-e-shīrīñ ki dikhā.ūñ

    farhād ke zimme bhī ajab koh-kanī hai

    hoñ garm-e-safar shām-e-ġharībāñ se ḳhushī hoñ

    ai sub.h-e-vatan to mujhe be-vatanī hai

    har-chand gadā huuñ maiñ tire ishq meñ lekin

    in bul-havasoñ meñ koī mujh bhī ġhanī hai

    har ashk mirā hai dur-e-shahvār se behtar

    har laḳht-e-jigar rashk-e-aqīq-e-yamanī hai

    bigḌī hai nipaT 'mīr' tapish aur jigar meñ

    shāyad ki mire par ab aan banī hai

    mashhur chaman mein teri gul pairahani hai

    qurban tere har uzw pe nazuk-badani hai

    uryani-e-ashufta kahan jae pas-az-marg

    kushta hai tera aur yahi be-kafni hai

    samjhe hai na parwana na thame hai zaban shama

    wo soKHtani hai to ye gardan-zadani hai

    leta hi nikalta hai mera laKHt-e-jigar ashk

    aansu nahin goya ki ye hire ki kani hai

    bulbul ki kaf-e-KHak bhi ab hogi pareshan

    jame ka tere rang sitamgar chimani hai

    kuchh to ubhar ai surat-e-shirin ki dikhaun

    farhad ke zimme bhi ajab koh-kani hai

    hon garm-e-safar sham-e-ghariban se KHushi hon

    ai subh-e-watan tu to mujhe be-watani hai

    har-chand gada hun main tere ishq mein lekin

    in bul-hawason mein koi mujh sa bhi ghani hai

    har ashk mera hai dur-e-shahwar se behtar

    har laKHt-e-jigar rashk-e-aqiq-e-yamani hai

    bigDi hai nipaT 'mir' tapish aur jigar mein

    shayad ki mere ji hi par ab aan bani hai

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0515

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now