Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab dil pe yahi hai jo dukhan chhoD na jaana

Qazi Mahmud Behri

ab dil pe yahi hai jo dukhan chhoD na jaana

Qazi Mahmud Behri

MORE BYQazi Mahmud Behri

    ab dil pe yahī hai jo dukhan chhoḌ na jaanā

    jone u dukhan khan ke ratan chhoḌ na jaanā

    yogan bhare dilbar u nazar-bāz u majlis

    u phuul u bulbul u chaman chhoḌ na jaanā

    j dost jo hai jot ho diide kuuñ dukhan

    so yuuñ kahīñ har-dam jo ham chhoḌ na jaanā

    gar koī baḳhshtā hai bulā kar iram in.aam

    bulbul ke achchhe man meñ jo ban chhoḌ na jaanā

    saT khan na ki junūñ laal har yak mulk na bhagnā

    junūñ suur gagan ya.anī vatan chhoḌ na jaanā

    taqdīr kahāñ khīñch lijāgī so na jaano

    pan jiiv ke gul-lot jo tan chhoḌ na jaanā

    'bahrī' kuuñ dukhan yuuñ hai ki junūñ nal kuuñ daman hai

    pas nal kuuñ hai lāzim jo daman chhoḌ na jaanā

    ab dil pe yahi hai jo dukhan chhoD na jaana

    jone u dukhan khan ke ratan chhoD na jaana

    yogan bhare dilbar u nazar-baz u majlis

    u phul u bulbul u chaman chhoD na jaana

    j dost jo hai jot ho dide kun dukhan ki

    so yun kahin har-dam jo hum chhoD na jaana

    gar koi baKHshta hai bula kar iram inam

    bulbul ke achchhe man mein jo ban chhoD na jaana

    saT khan na ki junun lal har yak mulk na bhagna

    junun sur gagan yani watan chhoD na jaana

    taqdir kahan khinch lijagi so na jaano

    pan jiw ke gul-lot jo tan chhoD na jaana

    'bahri' kun dukhan yun hai ki junun nal kun daman hai

    pas nal kun hai lazim jo daman chhoD na jaana

    Source:

    Kulliyat-e-Behri (Pg. e-132 p-125)

    • Author: Qazi Mahmud Behri
      • Edition: 1939
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1939

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now