Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masjid ka hai KHayal KHarabaat ka KHayal

Rasikh Dehlvi

masjid ka hai KHayal KHarabaat ka KHayal

Rasikh Dehlvi

MORE BYRasikh Dehlvi

    masjid hai ḳhayāl ḳharābāt ḳhayāl

    vo rind huuñ ki hai mujhe auqāt ḳhayāl

    barsāt meñ hai tauba-o-tā.āt ḳhayāl

    tauba ke saath saath hai barsāt ḳhayāl

    shab ko vahī hai ḳhvāb-e-pareshāñ jo din meñ thā

    din ho gayā to mujh ko vahī raat ḳhayāl

    ālī-dimāġh huuñ tirī zulfeñ haiñ haath meñ

    sau haath kaleja hai so haat ḳhayāl

    zāhid raheñ janāb ḳhayāl-e-iram se ḳhush

    ārām meñ hai qibla-e-hājāt ḳhayāl

    ai shoḳh chāhtā hai safā.ī ye ḳhatt-e-sabz

    muusā ko hai ḳhizar mulāqāt ḳhayāl

    bose diye haiñ aap ne to le ke naqd-e-dil

    sadqe dhyān thā mujhe ḳhairāt ḳhayāl

    umr-e-guzishta chāhiye taa.at ke vāste

    ham kyoñ kareñ talāfī-e-māfāt ḳhayāl

    tum ḳhuub jānte ho samajhte ho kyā kahūñ

    jis raat ḳhayāl hai jis baat ḳhayāl

    jām-o-kabāb-o-mai gul-o-gul-rū-o-māh-o-bāġh

    barsāt meñ zarūr hai in saat ḳhayāl

    palle meñ bāñdh le dil-e-'rāsiḳh' payāmbar

    un ke liye hai gar tujhe sauġhāt ḳhayāl

    masjid ka hai KHayal KHarabaat ka KHayal

    wo rind hun ki hai mujhe auqat ka KHayal

    barsat mein hai tauba-o-taat ka KHayal

    tauba ke sath sath hai barsat ka KHayal

    shab ko wahi hai KHwab-e-pareshan jo din mein tha

    din ho gaya to mujh ko wahi raat ka KHayal

    aali-dimagh hun teri zulfen hain hath mein

    sau hath ka kaleja hai so hat ka KHayal

    zahid rahen janab KHayal-e-iram se KHush

    aaram mein hai qibla-e-hajat ka KHayal

    ai shoKH chahta hai safai ye KHatt-e-sabz

    musa ko hai KHizar ki mulaqat ka KHayal

    bose diye hain aap ne to le ke naqd-e-dil

    sadqe ka dhyan tha mujhe KHairaat ka KHayal

    umr-e-guzishta chahiye taat ke waste

    hum kyon karen talafi-e-mafat ka KHayal

    tum KHub jaante ho samajhte ho kya kahun

    jis raat ka KHayal hai jis baat ka KHayal

    jam-o-kabab-o-mai gul-o-gul-ru-o-mah-o-bagh

    barsat mein zarur hai in sat ka KHayal

    palle mein bandh le dil-e-'rasiKH' payambar

    un ke liye hai gar tujhe saughat ka KHayal

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now