Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masjidon mein qatl hone ki riwayat hai yahan

Nomaan Shauque

masjidon mein qatl hone ki riwayat hai yahan

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    masjidoñ meñ qatl hone rivāyat hai yahāñ

    aur jise bhī dekhiye vo bā-jamā.at hai yahāñ

    un ke sur meñ sur milā kar chīḳhtī ḳhilqat tamām

    dekhiye ik jhuuT meñ bhī kitnī tāqat hai yahāñ

    aur is daave ham tardīd kar sakte nahīñ

    log kahte haiñ mohabbat mohabbat hai yahāñ

    faisla ye bhī adālat ko karne dījiye

    aap ko insāf kitnī zarūrat hai yahāñ

    ham ye jañgal chhoḌne vaale nahīñ sun lījiye

    bheḌiyoñ meñ ab bhī thoḌī ādmiyat hai yahāñ

    masjidon mein qatl hone ki riwayat hai yahan

    aur jise bhi dekhiye wo ba-jamaat hai yahan

    un ke sur mein sur mila kar chiKHti KHilqat tamam

    dekhiye ek jhuT mein bhi kitni taqat hai yahan

    aur is dawe ki hum tardid kar sakte nahin

    log kahte hain mohabbat hi mohabbat hai yahan

    faisla ye bhi adalat ko hi karne dijiye

    aap ko insaf ki kitni zarurat hai yahan

    hum ye jangal chhoDne wale nahin sun lijiye

    bheDiyon mein ab bhi thoDi aadmiyat hai yahan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now