maslahat thi chup raha wo dard ka tanha shajar

maslahat thi chup raha wo dard ka tanha shajar
Shahid Ahmad Shoaib
MORE BYShahid Ahmad Shoaib
maslahat thī chup rahā vo dard kā tanhā shajar
log kab sunte agar kuchh boltā tanhā shajar
kyā ḳhabar mauj-e-havā ne chupke se kyā kah diyā
dekh kar mujh ko bahut rotā rahā tanhā shajar
jangaloñ se duur ik vīrān vaadī ke qarīb
kārvān-e-dard se kyā kah gayā tanhā shajar
aao saa.e meñ mire āvāz us ne dī magar
dekh kar tanhā mujhe phir chup rahā tanhā shajar
kuchh ajab shai thī mirī umr-e-gurezāñ bhī 'sho.aib'
merā qissa der tak kahtā rahā tanhā shajar
maslahat thi chup raha wo dard ka tanha shajar
log kab sunte agar kuchh bolta tanha shajar
kya KHabar mauj-e-hawa ne chupke se kya kah diya
dekh kar mujh ko bahut rota raha tanha shajar
jangalon se dur ek viran wadi ke qarib
karwan-e-dard se kya kah gaya tanha shajar
aao sae mein mere aawaz us ne di magar
dekh kar tanha mujhe phir chup raha tanha shajar
kuchh ajab shai thi meri umr-e-gurezan bhi 'shoaib'
mera qissa der tak kahta raha tanha shajar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.